Saadgi

(Saba Tariq, Karachi)

Jis Tarha Har Chamakti Cheez Sona Nahi Hoti, Isi Tarha Har Aa-Saish Mussar Hona,Kamyab Zindagi Ki Zamanat Nahi Ho Sakti.... ! Aj Hum Har Taruf Dekhty Hain K Har Cheez Ma Masnuei Banawat Ha......Log Banawat Or Dekhawa,Namod-O-Numa-Ish Ma Esay Jakar Chukay Hain K Is Say Bachna Ab Ba-Zahir Mushkil Nazar Ata Hai.

Lekin Zinda Zamir Log Ab Bhi Is Namudo-Numa-Ish Say Nikal Sakty Hain. Kon Sa Esa Zindagi Ka Rukh Ha Janhan Hum Har Cheez Ki Numa-Ish Nahi Kar Rahay Hain............Har Cheez Main Banawat Ha, Numa-Ish Ha Cahay Wo.......Khana Ho, Pakana Ho, Jana Ho Ana Ho, Pehanna Ho, Dena Ho, Lena Ho, Shadi Ho Mout Ho........Kon Si Esi Cheez Ha Janhan Hum Ne Numa-Ish Na Ki Ho. Islam Tu Hamay Har Cheez Ma "Saadgi"Ka Hukum Deta Ha.

Hamary Piyaray" Nabi'' (Sallaho Alihi Wsallam) Jin K Liye Ye Dunya Banni, Jin K Hath Main Dono Jahan Ki Nematain Thi, Jin K Esharay Par Chand Do Tokray Ho Gaya Ya, Jin K Esharay Say Suraj Palat Aya, Unho Ny Apni Sari Zindagi Saadgi Say Guzari.Wo Chahaty Tu Kiya Kuch Nahi Ho Sakta Tha, Lekin Unho Ne Saadgi Ko Pasand Kiya.

Hum Bhi Tu Unhi K Ummati Hain, Kiya Hum Par Ye Lazim Nahi K Hum Bhi Unhi Ki Tarha Zindagi Basar Karin, Itny Khush Naseeb Hony K Bawajood Bhi Hum Apny Hi Hatho Say Bad-Naseeb Hony K Kam Kar Rahay Hain, Or Phir Halat Ko Is Ka Zimydar Qarar Dety Hain.........Ye Q Nahi Sochty K Halat Bhi Tu Hamary Hi Peda Kiye Howy Hain.

Yad Rakhye Jab Jism Say Roh Nikal Jaye Gi Tu..........Sirf Jism Ko Ek Safead Kapray Main Lipeat Kar Qabar Ma Dal Diya Jaey Ga, Na Koei Chamak Ho Gi Na Damak........Han Ek Cheez Zaror Ho Gi Wo Ha Hamary Aamal Jo Ta-Qayamat Hamary Sath Ho Gy. Ab Chahy Wo Aamal Bury Ho Ya Achy. Wo Har Pal Har Lamha Hamary Sath Ho Gy.

Jab Insan Saadgi Say Nikal Kar Namuduo-Numa-Ish Ki Taraf Ata Ha Tu Us Waqat Ek Gunha Nahi Karta, Balky Us K Sath Na Jany Kitny Gunha Hoty Chalay Jaty Hain, Bohat Say Logo Ka Dil Dukhta Ha, Bohat Say Log Hi Is Shakhs Ki Waja Say Hasad Ka Shikar Ho Jata Hain. Akhir Saadgi Ko Ekhteyar Karny Main Harj Hi Kiya Ha, Kon Sa Dunya Ma Hamesha Rehna Ha, Yanhan Jitni Saadgi Say Rahain Gay Insha ALLAH Akhrat Main Buland-Tareen Maqam Paiy Gay.

Islam Hamay Saadgi Say Zindagi Guzarny Ka Dars Deta Ha,Or Saadgi Main Hi Barkat Ha, Rahat Ha, Zidagi Main Sukoon Rehta Ha. Zindagi Ki Ronaq Saadgi Main Ha, Or Numa-Ish Jo Hai Wo Zindagi K Tamam Rango Say Ronaqo Say Khali Ha, Kash........K Hum Samajh Sacky, Zindagi K In Sunheri Usolo Ko.

ALLAH Pak Hum Sub Ko Apni Zindagi Saadgi Say Guzarny Ki Tufiq Ata Farmaey, Or Is Dunya Ki Jhooti Shan-O-Shokat, Is Dunya Ki Jhooti Banawat, Is Dunya Ka Dekhawa, Or Numa-Ish Say Hum Sub Ki Hifazat Farmaye.(Ameen)

Saba Tariq
About the Author: Saba Tariq Read More Articles by Saba Tariq: 17 Articles with 54752 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.