Urooj-o-zawal

(Waqas Sajid, Islamabad)

Moat Bohat Khubsurat Shai H...Qismat Walon Ko He Milti H....Mil Jai Tu Naimat Khud Se Hasil Karo Tu Gunah....

Sab Ka Tu Ni Kehta Lekin Meri Apni Zindgi Mn Aik Masla Rha H Hmesha Se...K Log Milty Hn...Vo Hamary Jan'ny Waly Banty Hn....Ham Unhen Dost Kehna Shro Kar Dety Hn...Phir Unhi Logon Ko Ham Apna Best Friend Manty Hn...Unhen Ham Payar Krny Lagty Henn....Ar Is Trha Ham Aik Anjan Shkhs K Sath Ajnabiat Se Payar Tak Ka Safar Ty Krty Hn.....Jisy Akhir Mn Zawal Se Arooj Tak K Safar Ka Naam Dia Jai Tu Kuch Ghalat Na Hoga.......Lekin Ye Silsila Yahin  Khatam Ni Hota.....Kehty Hn K Tareekh(History) Khud Ko Dohrati H....Lekin Kuch Logon Ke Tareekh Bhe Bohat Mukhtasir Hoti H....Itni Mukhtasir K Unhi  Ke Zindagi Mn Unki Zindagi Ke Tareekh Kai Baar Dohrai Jati H....Ye Ajnabiat Se Shro Hony Wala Safar Sirf Payar K Arooj Ko Pohanch Kar Khatam Nahi Hota Bal K Ye Dobara Ajnabiat K Zawal Tak Pohnchta H....Ar Phir Hamara Man'na Hota H K Ham Payar Nahi Krty Ham Sirf Achy Dost Hn.....Achy Dost Se Nata Sirf Aik Dost Ke Had Tak Reh Jata Ar Dost Se Phir Vohin Jan'ny Waly Ke Serhi Par Pohanch Jaty....Ar Jan'ny Waly Tab Tak Jan'ny Waly Rehty Hn Jab Tak Aap Unki Nazron K Samny Rahty.....Nazron Se Ojhal Tu Phir Apka Ar Unka Wohi Nata Jo Sari Dunya Ka Aik Dosry K Sath Naata H Vohi Ban Jata H......Sirf Ajnabi.....Sirf Ajnabiat Ka Naata..........Ar Estrha Ye Zawal Se Arooj Tak K Safar Ke Bajaye Zawal Se Zawal Tak Ka Safar Kehlata H.....
 

Waqas Sajid
About the Author: Waqas SajidCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.