Haqeeqat

(Samreen Bukhari, Lahore)

Soch Ka Panchi Jis Waqt Takhayulaat Ki Oraan Bharney Lagey Tu Is Ko Fiker-O-Tatabur Key Asmaan Per Khuola Choor Dain Aur Is Ki Oraan Ki Ojj Daikhain.Her Giz Is Soch Main Mat Doob Jaiyey Ga Ke Yay Soch Kuch Ba Mani , Fiker,Khayal,Aur Sach, Ko Furan Hi Pa Sakey Ga Ya Nahi ,Jo Bhi Aur Jasi Bi Sochain Zehan Ke Pardey Per Parindoon K Ghuool Ke Manid Utrain, Un Sab Sochoon Ko Zabt-E-Tahreer Main Latey Jain, Kion Ke Baaz Oqaat Bey Tarteeb Sochain Hum Per Sachaee Ka Aik Naya Jahaan Roshan Kar Deti Hain

Dunya Ki Koi Soch Bey Kaar-O-Bey Matlab Nahi Hoti, Koi Lafz Bey Mani Nahi Hota, Bal Key Lafzoon Ke Mafhoom Tu Baaz Dafa Itney Gharey Hotey Hain Ke Hum Un Ki Asal Rooh Ko Choo Bi Nahi Patey, Koi Khayal Jis Waqt Qalam K Zariyey Qirtaas Per Raqam Kar Diya Jata Hai, Tu Wo Tahreer Ban Jati Hai, Humari Soch Ko Koi Bhi Insaan Parh Nahi Sakta,Magar Tahreer In Pardoon Aur Pabandioon In Zawabit Se Qat 'En Azaad Hoti Hai.


Bohat Bar Aisa Hota Hai Ke Hum Kuch Parhtey Hain Aur Phir Aik Zamaney Tak Humari Soch Us Ko Qaid Rakhti Hai,Aur Hum Kabhi Shaoori Aur Kabhi La Shaoori Tuor Per Us Ko Sochtey Rahtey Hain, Aur Samjhney Ki Koshish Bi Karttey Hain Apni Bisaat Ke Mutabiq' Sochna, Fiker Karna, Ghoor Karna, In Sab Hi Batoon Ka Hukam Hum Ko Kitaab-E-Elahi Main Her Taraf Milta Hai....

Yay Hukam Hum Ko Rab Key Kalaam Main Ja Ba Ja Milta Hai, Kion Key Achi Sachi Soch Aur Phir Us Per Mukamal Taur Se Amall I Nsaan Ki Zindagi Badal Key Rakh Deta Hai,

Kisi Ne Khoob Kaha Hai Ke

Dil Se Jo Nikalti Hai Baat Asar Rakhti Hai
Per Nahi Taqat-E-Parwaaz Magar Rakhti Hai

Beshaq Lafzoo Main Jo Dil Se Nikley Hon Bohat Taseeer Hai, In Ka Jado Insaanon Per Sadiyoon Se Ya Yoon Kah Lain Ke Azal
Se Asar Andaaz Hota A Raha Hai, Khuda Ka Kalaam Bhi Humarey Paas Tahreri Sorat Main Moujood Hai ,Aik Aisi Tahreer Aisa Kalaam Jis Ka Sehar I Nsaan Ko Jakar Leyta Hai , Jab Quran Ko Parha Jata Hai, Tu Wo Log Jin Ko Yay Zubaan Samjh Bhi Nah I Ati Un Per Bi Is Ka Sehar Tari Ho Jata Hai, Aik Riqat Ki Keyfiyat Tari Ho Jati Hai.


Her Tahreer Apney Khaliq Ki Soch Ki Akaas Aur Us Key Andaaz-E-Fiker Ka Munh Bolta Saboot Hoti Hai, Hum Kisi Ki Bhi Tahreer Parh Rahey Hon Der Haqeqat Hum Us Insaan Ki Soch Parh Rahey Hotey Hain, Hum Aik Tarhan Se Us Se Hum Kalam Hotey Hain Us Key Ilfaaz Hum Per Aik Keyfiyat Si Tari Kar Detey Hain .Laikh'ney Wala Apni Kahani Main Jin Halat Ka Ziker Kar Raha Hota Hai Wo Humarey Samney Aik Film Ki Tarhan Chal Rahe Hotey Hain ,Likhari Apney Parhney Waley Key Dil-O-Dimaag Per Mukamal Tour Per Qabiz Ho Jata Hai, Wo Jab Chahta Hai Hum Ko Rula Deta Hai, Jab Chahta Hai Hasa Deta Hai.


Go Insaan Humarey Samney Nahi, Na Hi Un K Irdaroon Se Hum Ko Zati Jan Pahchaan Hoti Hai Magar Us Ke Lafzoon Ki Taqat Hum Per Hawi Ho Jati Hai, Ab Yay Nukta Qabil-E-Goor Hai Key Zara Sochain' Ke Jab Aik Insaan Ki Tahreer Main Itni Taqat Ho Sakti Hai Ke Wo Hum Ko Jahan Hum Mojod Hain Wahan Se Utha Kar Apney Tasawur Ki Dunya Main La Khara Karey, Aur Hum Us Key Lafzoon Se Buni Hui Zindagi Ko Apney Poorey Mahsosaat Ke Sath Mahsoos Karty Hain, Tu Phir Jo Khud Na Srif Khaliq-E-Insaan Hai Bal Ke Khaliq-E-Kooon-O-Makaan Hai. Ous Ki Tahreer Hum Per Kase Kasey Asraat Na Muratab Karey Gi, Shayad Humaray Gumaan Ka Bhi Wahan Koi Guzar Nahi...


Ilfaaz Jo Sahraooon Ki Wusat Rakhtey Hain' Ilfaaz Jo Apney Ander Samandaroon Ki Gahraee Rakhtey Hain, Ilfaaz Jo Aasmanoon Ki Bulandiyan Apney Ander Samoo Leytey Hain.Sahraoon Ki Wusatain Hon Asmanoon Ki Bulandi Ho Ya Phir Samandaroon Ki Gahraee , Her Cheez Ki Aik Akhri Had Hoti Hai Jahan Se Agay Kuch Nahi Hota Siwa Aik' Zaaat' Ke Jab Hum Kisi Bi Cheez Ki Akhri Hadood Ko Chootey Hain Tu Sirf Aik Zaat Baki Rah Chuki Hoti Hai'


Wo Zaat Apni Poori Shaan-O-Shukat Poori Aab-O-Taab Aur Mukamal Tamkanat Ke Sath Roshan Hoti Hai , Wo Zaat Ke Jis Ko Main, Ap' Hum Sab ALLAH Kahtey Hain, Yay Zaat Her Akhri Had Per Humrey Samney Roshan Se Roshan Tareen Hoti Jati Hai. Her Baaat Ka Asal, Her Soch Ki Gahraee Zindagi Ka Falsafa Ho Ya Akhrat Ki Rooz-E-Roshan Jasei Haqeqat , Her Jagah Per Wo Hi Zaaat Hai , Her Soo Sirf Aik Hi Sada Hai Dunya Ka Shoor Ho Ya Hoo Ka Alam Her Ja Her Simt Her Jagah Shahood Mashhood Her Taraf ALLAH ALLAH ALLAH Hooooooo Ki Sada Ati Hai.

Tu Jab Her Soch Ka Anth Her Fiker Ki Akhri Had Per Atal Haqeeqat Hi Samney A Jay , Khuda Ki Zaat Ki Atal Haqeeqat , Tu Khud Ko Sochney Se Mat Rokain ,Kion Key Aisi Soch Ka Safar Kabhi La Hasil Nahi Hota Is Raah Ka Musafir Kabhi Na Kami Se Humkina R Nahi Ho Sakta. Aisey Musafir Ko Her Tarhan Key Khoof-O-Khatar Se Bey Parwa Ho Ke Apna Safar Jari-O-Sari Rakhna Chayay, Kion Ke Isi Safar Ki Akhri Manzil Insaniat Ki Miraaj Hai,Aur Beysaq Insaniat Ki Miraaj Aytaraaf-E-Khudawandi Hai, Aur Jab Hum Is Atal Haqeqat Ka Ayetaraaf Poorey Imaan Aur Sachaee Se Kartey Hain Tu Yay Is Baat Per Tasdeeq Ki Muhar Sabt Karta Hai Ke Dunya Aur Akhrat Main Humarey Liyey Sirf Sorkhroeee Hi Hai. Sirf Kamrani Hi Humara Muqadar Hai ..Kion Key ......................


Aasiyaan Se Hum Ne Kabhi Kinara Nahi Kia
Per Tuu Ney Dil Azurdaa Humara Nahi Kia
Hum Ney Tou Jahanum Ki Bohat Tadbeer Ki
Leykin Teri Rahmat Ney Gawara Nahi Kia
 

Samreen Bukhari
About the Author: Samreen Bukhari Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.