Qurbani Ya Rayaqari

(Saad ali, Islamabad)

Hajj Deen-E-Islam Ka Aik Aham Rukn Hai. Or Qubani Es Rukn Ka Ek Aham Hissa Ha. Qurbani Dilhajj Ki 10 Tareekh Ko Ki Jati Hai. Ye "Sunnat-E-Ibrahimi" Hai Jo Har Sahib-E-Istat Es Mah Mai Ada Krty Hain. Ye Azeem Din Mazhab-E-Islam Mai Nihayat Ehmiat Ka Hamil Hai. Mujhy Aj Nihayat Afsos K Sath Kehna Parr Raha Hai Hum Ny Es Azeem Din Ko Sirf Dikhawy K Lie Manaty Hain.Es Din Ko Qurbani Nhi Mehaz Aik Fashion Bna Dia Hai.Ye Jazba "Sunnat-E-Ibrahimi" Poori Krny K Lie Nhi Balky Humary Andr Dikhawa Krny K Lie Barh Raha Hai.

Yoon Tou Syed Bhi Ho,Mirza Bhi Ho,Afghan Bhi Ho,
Tum Sabhi Kuch Ho Ye Btao Musalmaan Bhi Ho.

Ye Humary Emaan Ki Kamzori Hai K Hum Es Azeem Qurbani Ko Ko Ek Rayakari K Tarz Sy Manaty Hain.Es Kamzori Ko Duur Krna Hum Sab Sahib-E-Emaan Ki Ye Zaimmadari Hai K Hum Apny Safon Mai Ettehaad Paida Karen Or Apni Kamzorion Ko Duur Karen.Ta K Dusmanan-E-Islam Humari Kamzorion Sy Faida Na Utha Saken.Ye Tmam Baten Likhny Ka Zariya Ak Shakhs Bna Jisy Mehaz Mai Ny Ye Kehta Hua Suna K "Yar Mera Parosi 80,000 Ka Janwar Laya Hai Mai Aik Lakh Ka Launga". Ab Sahib-E-Aqal Hazraat Sy Ye Guzarish Hai Aap Khud Faisla Karen K Ye Eid-E-Qurbani Hai Ya Eid-E-Rayakari.
 

Saad ali
About the Author: Saad ali Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.