Waqth Bohoth Thora Reh Gaya Nadano

(farah ejaz, dearborn,mi USA)

Assalam O Alaikum....
Aaj Pata Nahin Kiyun Dil Bohoth Udaas Hay...Pata Nahin Kiyun Mulki Halath Per Ya Hum Pakistani Awaam Ki Halat-E-Zaar Per Rona Araha Hay.....Waisay Daikha Jai To Hum Shaid Issi Kay Mustehaq Hain Jo Hummaray Saath Horaha Hay.....Dehshath Or Khof Kay Badal Chut Nay Ka Naam Hi Nahin Larahay Hain....Baybassi Ki Inteha Ko Pohnchay Huay Hain......Ghurbath Aflaas Tungi Or Oouper Say Mehngayee Kay Jin Nay Hummay Apni Girafth May Lay Liya Hay.......Taleem Ka Jo Haal Hummaray Paas Hay Wo Alag .

Pareshani Ka Baiz Hay.....Lakin Qabil-E-Ghor Baath Yai Hay Kay Yai Sub Hummaray Saath Hi Kiyun Horaha Hay....Jahan Tuk Meri Naqis Sonch Hay To Wo Yahi Hay Kay Hum Allah Subhana Wa Tallah Ko Bhoolay Huay Hain.....Naach Ganay....Or Behooda Shows.....Namaz Bhi Lut Maar Andaaz May Ada Ki Or Bus....Na Rukoo Qiyaam Or Sujood Kay Adaab Ka Pata Or Nahin Dua Ka Saleeqa Aya.....Jub Uftaad Parhi To Allah Say Shikwa Ker Lay Tay Hain Phir ...Halath Jaisay Hi Pultay Phir Nazrain Bhi Apnay Rub Say Phair Lin....Shirk Bidaath Or Us Per Israar Bhi Kay Hummaray Baap Dada Yahi Kertay Aiy Hain To Hum Bhi Unhi Kay Nuqsh-E-Qadam Per Chalingay Mushrikeen-E-Makah Jaisa Haal Hay Hamara......Moderate Bunnay Kay Chakar May Hum Kiya Say Kiya Hogai.....Hummari Khawateen Jo Pehlay Ghar Say Baghair Chadar Or Jilbab Kay Nahin Nikaltin Thin Un Ki Bhi Dhub Nirali Hogayee Hay.Baghair Asteen Ki Qhameezain.....Oouper Say Chusth Or Deep Galay....Or Hummaray Bachay Mohak Style Kay Baal Banay Her Koyee Sharukh Or Amir Khan Bana Phirta Hay...Hum Ab Kis Azaab Kay Muntazir Hain...Yai To Chund Rozah Zindagi Hay....Abhi Aik Taweel Zindagi(Burzaqi) Anay Wali Hay Kiya May Or Aap Us Kay Liyai Tayari Ker Chukay Hain...Moth Umar Ko Nahin Daikhti...Jawan Boorha Ya Bacha...Jis Ka Waqth Aya Wo Us Taweel Rah Purqatar Ka Rahi Bun Jata Hay....Abhi Bhi Waqth Hay Sunmbhal Jain To Acha Hay Werna Shaid Maafi Ka Bhi Moqa Haath Na Aiya.
 

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 215417 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More