Aj Ka Musliman

(lubna parveen, gujar khan)

Agar Aj K Dor Me Dikha Jae To Kya Hm Puri Tarah Se Islam K Paband Hain.Hmari Zindagi Islami Asoloun K Mutabiq Hai.Hm Musliman Kehlane K Laiq Hain. In Sare Sawaloun K Jawab Hme Apni Zaat Ka Muhasiba Karne Se Milen Ge . Hmari Zindagi Mazhab Se Koson Door Hai . Hum Sirf Namm K Musliman Reh Gae Hain .Hum Agar Pure Din Ki Routine Daikh Len To Hme Ahsas Ho Jae Ga K Hum Kitne Islami Asoulon K Paband Rahen Hain.Zara Zara Si Bat Per Gusa A Jana. Ksi Ko Chekh K Bulana.Dosron K Bare Me Hmesha Galt Rae Rakhna. Dosroun Per Hasna. Ghareboun Ka Mazaq Urana.Zra Si Bat Pe Gusa Karna .Maan Baap K Samne Batamezi Krna.Maan Baap K Hukam Ki Taameel Na Krna. Kya Ye Sab Hme Musliman Hona Zahir Karta Hai.Musliman Hne K Nate Hme Apne Rozmarah K Kaam Islami Asoulon Aur Sunate Nabvi (S A W) Kmutabiq Krne Chahyen.Gusa Krna Ye Kse Pe Gusa Krna Hmare Mazhab Me Jaiz Nahe. Hazrat Abu Hurairah Se Riwat Hai K Rasulullah(S A W ) Ne Far Maya:Pehlwan Wo Nahe Jo Pichar De Balke Pehlwan Wo Hai Jo Guse K Waqt Apne App Ko Qabo Me Rakhe(Mutafiq Ulliyah) Bethne Se Gusa Kam Ho Jata Hai. Dosroun Se Bat Krne Me Narme Ki Jai. Irshad Nabvi Hai:Musliman Me Kamil Momin Wo Hai Jis Ka Ikhlaq Sabse Achah Hai. Dosren Ki Batoun Ki Touh Me Nahe Lage Rehna Chahe.Ye Aik Qisam Ki Jasousi Hai .Tajasous Na Karo(Surah Hujurat). Dosroun Ka Mazaq Harghiz Nahe Urana Chahye.Ghareboun Khayal Rakhna Chahye.Maan Baap K Har Hukam Ki Tameel Krni Chahye.Unk Samne Hmesha Naram Lehje Me Bat Krni Chahye. Aj Kal Ache Ikhlaq Ki Bht Kami Pai Jati Hai. Agar Hum In Choti Chohti Baton Per Amal Pera Hun To Bht Si Burioun Se Bach Sakte Hain.Surah Baqarah Me Irshad Hai Deen Me Mukamal Dakhal Ho Jao.Aj Hum Musliman Sirf Ibadat Per He Iktefa Krte Hain Aur In Choti Choti Batoun Ko Tarjeeh Nahe Dete.

lubna parveen
About the Author: lubna parveen Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.