Tanhai (Loneliness).

(Mohammad Fahad Rizwan, Sukkur)

Tanhai Ko Mainey Bohat Kuch Paya Hai Tanhai Aik Lafz Nahi Aik Soch Aik Ahsas Hai Tanhai Ki Shiddat Ya Ahsas Ka Andaza Is Sey Paida Honey Wali Situation Se Laga Saktey Hain Key Kabhi To Tanhai Zehen Main Peda Honey Waley Fitoor Ka Sabab Banti Hai To Kabhi Kisi Ki Khudkushi Sey Is Baat Ka Andaza Lagaya Ja Sakta Hai Key Tanhai Kya Hai?Tanhai Kya Hai Is Ka Jawab To Shayad Hi Koi Batey Sakey Kyun Key Sab Key Liye Tanhai Ka Apna Matlab Hota Hai Magar Tanhai Wo Hai Jo Do Hazar Logon Key Majmey Main Bhi Insaan To Akela Mehsoos Karati Hai.Koi Tanhai Mein Aik Lutf Mehsoos Karta Hai Or Koi Chirta Hai Lekin Tanhai Mein Aik Nasha Sa Hota Hai Ye Insaan Ko Ya To Bilkul Hi Nalayak Ya Bilkul Hi Laiq Banadeti Hai Kisi Ko Apney Ap Key Barey Mein Mehsoos Karati Hai Or Sochne Ka Moqa Deti Hai Key Mein Kiya Hun Jab Insane Tanhai Mein Is Dunya Key Barey Mein Gour Karta Hai To Wo Newton,Einstein Ya Shakspeere Banta Hai Jab Insan Tanhai Mein Apne Rab Ke Bare Ya Key Apney Is Dumya Mein Aney Ki Waja Ya Apney Wajood Ke Barey Mein Sochta Hai To Usey Haqeeqat Ka Pata Chalta Hai Agar Insane Tanhai Mein Galat Sochta Hai To Shayad Tanhai Hi Mein Usey Us Ka Jawab Bhi Milta Hai Tanhai Hikmat Deti Hai Tanhai Hi Sey Apney Tajurbat Ko Eik Simt Milti Hai Aur Tanhai Hi Sey Tajurba Eik Aqalmand Soch Banatey Hain. Tajurba Khud Kuch Nahi Hai.

Tanhai Hi Khud Ko Theek Karney Ka Jazba Deti Hai (Apni Galtiyan Theek Karney Ki) Tanhai Hi Hosh Dilati Hai.Par Khud Ko Apni Hi Qahiri Nazar Aye To

Khud Hi Ko Jab Nazar Aati Hai Qahiri Apni
Wohi Maqam Hai Kehtey Hain Jis Ko Sultani.
Dr. Allama Iqbal

Mohammad Fahad Rizwan
About the Author: Mohammad Fahad RizwanI write about some normal Facts or ideas with some other way of thinking and with different Idealogy... View More