Islam Me Nikah Se Mutaliq Uorat K Haquq

(Fayyaz Samina, )

Pichlay Dino Ik Khaber Meri Nazron Se Guzri K Fasalabad Sehar Me Ik Sohar Nay Khana Na Pakanay Pe Bv Ko Patrol Charak K Agg Laga Di Or Kahin Ye Khaber Parhnay Ko Mili K Ghar Ki Acchi Tarha Safai Or Khayyal Na Rakhnay Pe Soher Na Bv Ko Asay Mara K Us Ki Hadiyyan Hi Torh Din To Kabhi Kisi Akhbar Me Ye Parh K Afsoos Hwa K Koi Farmaish Karnay Pe Bv Ka Gala Ghont K Maar Diya Gaya Tanay Or Galam Galouch To Jasay Is Muashray Ka Ik Hisa Bn Gaya Ha Or Is Zulm Ko Kisi Ginti Me Hi Suhmar Nahi Kiya Jata Or Kuch Log To Isay Apna Padaishi Haq Tasawer Kertay Hain.

Jis Nay Mujhay Sohar Or Bv K Haquq K Baray Me Likhnay Pe Majboor Kar Diya Islami Muashray Me Asi Zulm Or Barbaryat Asal Wajah Taleem Ki Kami Ha Or Taleemn Sirf Dunyavi Hi Nahi Hoti Deni Bhi Hoti Ha Mager Afsoos Ye Ha K Dono Tarha Ka Aloom Se Is Mulk Ki Akseryyat Mehroom Ha Aor Shayyed Is Zulm Me Hum Sab Hi Sharik Hain K Aasi Khabrain Parh Or Dekh K Tv Or Akhbar Band Ker K Bhool Jatay Hain K Hum Bhi Isi Muashray Ka Hisa Hain.

Hamaray Yahan Ik Bara Almiya Ya Ha K Larkiyyon Ki Talim Ka Tasawer Dehi Illakon Me Akseryat Me Paya Hi Nahi Jata Or Hamaray Mulk Ka 80% Hisa Dehi Abadi Pe Mushtamil Ha Jab K Islami Mulk Honay K Natay Taleem Zaroori Honi Cahiya Thi Kunke Islam Ma Illm Hasil Kerna Her Musalman Merd O Ourat Per Ferz Ha Or Jo Sehron Me Rehtay Hain Talim Dilatay Hain Mager Baraiy Naam Q K Inter Or Matric Ya Zada Se Zadda Graguate Yahan Tak K Kuch Log Universities Me Alla Talim Hasil Karnay Bhaj Detay Hain Muger Us K Bawajood Buhat Bari Tadad Asi Ha Jo Apnay Bunyadi Haqooq K Baray Me Janti Hi Nahi Hain.

Or Phir Jab Nikah Hota Ha To Un Ko Un K Haqooq K Baray Me Kuch Maloom Nahi Hota Yahan Tak K Wo 4 6 Bachon Ki Maa Ban Jati Hain Or Apnay Haquq Se Nawaqif Rahti Hain Or Asay Hi Sari Zindagi Guzar Deti Hain Ye To Sahron Ki Bat Ha Un Gaun Dehat Ki To Pochain Hi Nahin Jin Me Larkiyon Ki Taleem Ka Koi Tasawer Hi Nahin.
 
Q K Ye Pakistan Islam K Naam Pe Hasil Kiya Gaya Or ALLHAMDOLLILAH HUM SAB MUSLIM BHI HAIN Me Kisi Or Qanoon Ki Bat Nahi Karti Islam Ki Bat Karti Hm Jis Me ALLAH Nay Uorat Ko Her Lihaz Se Us Ki Saholat K Mutabiq Hakuq Ata Kiya Hain Jin Se Hum Musalman Jo Muslim Gharanon Me Peda Hwe In Tamam Umor Se Akseryat Nawaqif Hain Or Sirf 5 Waqt Ki Namaz Or Quran Ka Kuch Hisa Din K Kisi Pehar Parh K Kush Ho Jate Hain K Hamara Din Mukamal Ho Gaya Jab K Asa Nahi Ha Dean E Islam Me Haquoqul Ibad K Bhi Baray Darjat Hain Jo Hum Me Se Akser Nazerandaz Ker Detay Hain.

Kisi Shadi K Liya Sab Se Pahlay To Larkay Or Larki Ki Raza Mandi Zaroori Ha Sahron Me To Phir Bhi Is Bat Ka Khayyal Rakha Jata Ha Muger Wahan Bhi Akser Maa Bap Itni Kam Umer Me Larki Ki Shadi Kar Detay Hain K Us Ki Raza Mandi Baray Naam Hi Hoti Ha Jab K Wo Kuch Souchnay K Umer Se Bhi Paray Hoti Ha Or Wo Abadi Jo Hamaray Dehi Illaqon Se Taaluq Rakhti Ha Akseryet Is Haq Se Bhi Mehroom Ha Q K Wahan Wani Or Watay Satay Jasi Rasomat Aam Hain Is K Illawa Qarz Utarnay Or Khon Maaf Karanay K Liyay Bhi Behan Beti K Nikkah Karadiyay Jatay Hain Kahin Jaydad Ko Bachanay K Liya Quran Se Nikkah Ki Rasm Ko Apnaya Gaya Ha Asay Buhat Se Gher Ikhlaqi Or Gher Islami Tariqay Apna K Uorat K Haquq Ko Pamal Kiya Gaya Ha Or Jab Bat Un K Hath Se Nikalti Ha To Karo Kari K Zaryay Qisa Hi Khatum Kar Detay Hain.
 
Jab K Islam In Sab Rasomat K Khilaf Ha Or Urat Ko Buhat Zadda Haquq Se Nawaza Gaya Ha Ik Haq Jo Nikkah Namay Me Rakha Gaya Ha Wo Ha Mehar Ka Is K Baray Main Ik Bat Kahon Gi K Kahtay Hain K Adha Alim Jahil Se Zaada Khternaak Hota Ha Wo Missal Yahan Sadiq Hoti Ha Mujhay Kahin Ye Sun Ker Bari Herat Hwe K Hum Nay Sharai Meher Rakha Ha 32 Ruppay To Pocha K Ye Sharai Kasay Ha Mujhhay Bataya Gaya K( Hazrat ALI RAZIALLAH O TALLAH ANHO)Or( HAZRAT B B FATIMA RAZIALLAH TALA ANHO) Ka Jab Nikkah Hwa To Un Ka Mehar 32 Dirham Tha Jis K Mutabiq 32 Ruppay Ka Sharai Haq Banta Ha Asa Hwa Zaroor Mager Ye Adhi Bat Ha Keun K Jab Un Dono Sahabyyat Ka Nikkah Hwa To( HAZRAT ALI RAZIALLAH TALLA ANHO ) K Pass Un Ki Kul Jaedad Or Maal O Mataa Ik Ghoray Ki Zeen Thi Jisay Bech K Jo Raqam Mili Us Ki Tadaad 64 Dirham Thi Jis Ka Adha Hisa Meher K Tour Pe( BB FATIMA RAZIALLAH O TAALA ANHO )Ko Diya Gaya To Koi Ha Jo Apni Adhi Jaedad Nikah Me Meher K Tour Pe De Jab K Ye Bat Hammaray Muashray Me Akser Log Nahi Jantay Or Is Tarhan Ik Or Haq Kuch Jaghon Pe Larki Se Chin Jata Ha Han Ab Is Baray Me Kuch Mallomat Logon Ko Barh Rahi Ha To Ab Sahron Me Is Chiz Ko Khatum Kar K Wo Mehar Ki Raqam Rakhi Jati Ha Jo Larka Asani Se Ada Kar Sakay Or Us Pe Boujh Na Banay.

Ye Mehar Muhabatan Ya Tuhfatan Larki Ko Dena Hota Ha Mager Us Ko Bhi Tallaq Ka Hisa Bana K Dunya K Samnay Layya Jata Ha Kahin To Badshaguni Ka Kah Ker Larki Walon Ka Moo Nikkah K Waqt Hi Band Kardiya Jata Ha Jab K Nikkah Namay Me Meher Do Tareqay Se Ada Kiya Ja Sakta Ha(1st) Muawjal Or ( 2nd)Mawajal .

Mutlub Ye K Ik Tariqa To Ye Ha K Nikah K Foran Bad Mehar Ada Kiya Jay Or Dosra Ka Mutlub Ye Ha K Jab Larki Talub Karay Us Waqt Ada Karni Hogi Is Poray Muamllay Me Talaq Ka Ziker Hi Nahi Kuch Log Ye Kehtay Hain K Hummari Bv Nay Meher Maaf Kar Diya Ha Ya Phir Wo Kud Hi Jabran Bv Se Maaf Kara Letay Hain.
 
Halan K Jab Soher Bv Ko Meher Ada Kar Day To Bv Ki Marzi K Wo Us Ka Kya Istimaal Karay.
 
Ik Haq Ye Bhi Ha K Tallaq Ka Haq Larki Ko Bhi Mil Sakta Ha Ye Zaroori Nahi K Ye Haq Sirf Larkay K Pass Hi Ho Ye Zahni Tour Per Bashawour Honay Ki Bat Ha Mager Is Muashray Me To Nikah Se Pehlay Hi Is Option Ko Asay Kat Diya Jata Ha Jesay Falto Hi Misprint Hogaya Ho.
 
Jab K Nikah Name Me Ik Point Ye Bhi Darj Hota Ha K Ager Souher Ko Talaq Ka Haq Diya Bhi Gaya Ha To Kisi Pabandi K Sath Ha Ya Nahi Or Ye Buhat Accha Point Ha Jis Se Larkiyyan Buhat Hud Tak Secure Ho Sakti Hain Yani Koi Bhi Mard Chand Rupay Larki K Mouu Pe Maar K 3 Alfaz Keh K Azad Nahi Ho Sakta Us Talaq K Liya Un Sharait Ko Pora Kerna Bhi Zaroori Hoga.

Ik Or Point Jo Nikah Namay Me Derj Hoti Ha Or Larkiyyon K Liya Buhat Hifazati Dhal Ki Manind Hoti Ha Usay Bhi Pichli Points Ki Tarha Nikah Namay K Kisi Falto Hisay Ki Tarhan Kat Diya Jata Ha Or Wo Ye Ha K Shadi K Mouqay Pe Hi Meher Or Nann O Nafqay Se Mutaliq Koi Dastaweezat Tayyar Karna Yani Qanooni Tor Pe Larkay Ko Bound Karna K Wo Larki Or Un K Honay Wale Bachon Ka Kharcha Utay Ga Or Jab Asi Koi Destawezaat Tayyar Nahi Hotin To Larki Walay Kuda Nakhuawsta Kisi Bhi Mushkil Waqt Me Qanooni Karawai Nahi Ker Patay Or Yehi Wajah Ha K Is Muashray Me Buhat Se Asay Gharanay Bhi Dekhnay Ko Miltay Hain Jo Abad To Hain Mager Khokhlay Hain Mutlub Ya K Larki Or In Dono K Bachay Larkay K Sath To Rehtay Hain Mager Kahrch Uthanay Ko Tayyar Nahi  Or Buhat Se Log Shadi Ker K Kisi Ghair Mulk Me Ja Basay Hain Or Larki Or Bachon Ka Koi Pochnay Wala Nahi Koi Naan Nafqa Nahi.
 
Ab Ik Asi Shart Ka Ziker Kernay Ja Rahi Hm Jo Nikah Namay Me Moujoud Ha Or Is Ik Shart Se 2 Se 4 Khawateen Ko Tahafuz Milta Ha Or Is Baray Me Humara Muashra Souchna Bhi Pasand Nahi Kerta K Is Muashray Me Ye Bat To Buhat Aam Ha K Kaha Jata Ha K Islam Me 4 Shadyon Ki Ijazat Ha Muger Un Shadiyon K Liya Dono, Tenow, Ya Charon Beviyon K Haqouq Baraber Hon Gay Khair Hum Nikah Namay Ki Bat Ker Rahay Thay K Is Me Ik Shart Ye Bhi Ha K Ager Larkay Nay Pehlay Se Shadi Ki Hwe Ha Tokya Us Nay Dosri Shadi K Liya Muslim Khandani Qawaneen Kay Ardinance1961 K Tahat Salisi Council Se Ijazat Nama Hasil Kya Ha Ya Nahi Yani Larki Jo Pehli Bv Thi Us Ka Qanooni Tour Pe Shouher Ko Dosri Shadi Ki Ijazat Dena Ha Or Is Tarhan Dosri Larki Jo Ab Bv Banay Ja Rahi Ha Ka Bhi Tahafuz Hota Ha K Us K Ilm Me Lazmi Ye Bat Ajati Ha K Larkay Ka Pehlay Nikah Hwa Tha Jis K Bad Wo Fesla Ker Sakti Ha K Usay Shadi Kerni Ha Ya Nahi Or Is Shiq K Nakah Namay Se Katnay K Sabab Buhat Zadah Dhokay Ho Rahay Hain Or Kai Cases To Asay Hain K Logon Nay 2or 3 Shadiyyan Ki Hwe Hain Or Bad Me Larki Ko Maloom Honay Pe Siway Saber K Larkiyyan Kuch Nahi Ker Saktin Or Pehlay Jo Point Cut Kya Gay Hain Or Un K Baray Me Me Bayyan Ker Chuki Hm K Bad To Sirf Aaah Hi Bar Sakti Ha Larki K Hath Tallaq Lay K Siway Ik Dhabay Or Badnami K Kuch Hasil Na Hota K Ye Wo Muashra Ha Jo Is Bat Pe Bhi Larki Ko Hi Zamedar Sabit Kerti Ha K Tallaq Lay K Bathi Ha Or Jis Muashray Me Larkiyyon Ki Shadi Ik Masla Ban Gai Ho Wahan Ye Kisi Jurm Se Kam Nahi Mana Jata.

ALLAH Nay Apnay Bandoun K Liya Jo Qawaneen Muratab Kiya Hain Wo Her Tarhan Se Bemisaal Hain Or Beshak Wo Hi Sab Jannay Wala Ha Hum Khawateen Ko Islam Main Or Bhi Buhat Saray Haquuq Diyay Gay Hain Muger Hum Jis Muashray Me Rehtay Hain Usay Isi Liya Mardoun Ka Muashra Kaha Jata Ha K In Qawaneen Ko Badalnay Or Adhora Apnanay Me Bhi Yahi Muashray Zamedar Ha Halan K Jab Bat Apni Beti Or Behan Ki Ho To Logon Ko Buhat Takleef Hoti Ha Or Yehi Haq Bv K Liya Namunasib Lagtay Hain Kuch Bhi Ho Haq Talfi To Khawateen Ki Hi Hoti Ha Shayyed Meray Is Article K Bad Kuch Log Is Se Faida UTHA SAKAIN OR APN Nazon SE PALI BACHIYON Ka Mustaqbil Mehfooz Ker Sakain.

samina fayyaz
About the Author: samina fayyaz Read More Articles by samina fayyaz: 12 Articles with 26788 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.