Naya Mohenjo Daro

(Junaid Khawaja, Karachi)

Moseeqi Aur Shehnaai Par Raqs Karnay Waalay Koi Aur Nahi, Yeh Hamaray Ehd Kay Hi Nojuwaan Thay Jo Yeh Bhool Chukay Thay Kay Unki Tehzeeb Yaa Koi Bhi Mohzib Qaum Khuwahaa Woh Ghair Muslim Hi Kyun Na Ho, Qabro Par Raqs Karne Ki Ijazat Nahi Deti. Woh Jaan Kar Bhi Anjaan Thay Kay Jis Mulk Ko Kisi Maqsad Kay Teht Unkay Buzrgo Ne Laakho Qurbaania De Kar Haasil Kiya Tha, Woh Unko Apnay Pairo Talay Rond Rahe Thay. Apnay Haal Se Itni Bekhabri Kay Aaqbat Ka Khayaal Na Tehzeeb Ka Malaal.

Qudrat Kay Qehr Se Bekhabar Aur Juzvi Chakochond Se Aashna Yeh Log To Apni Araam Gaaho Ki Taraf Lot Gaye Magar Kisi Aur Kay Liye Yeh Aakhri Araamgaah Ban Gai Aur Kuch Kay Liye Kuch Roz Baad Hi Bangai. Kuch So Meel Ki Musaafat Par Mojood Tharparkar Mein Basnay Waalay Ghareeb Logo Ko To Shayad Yeh Ilm Bhi Nahi Hoga Kay Unki Saqaafat Se Mehboob O Matwaalay Unki Saqaafat Ko Pero Talay Rond Kar Unka Din Manatay Rahe Hain.

Thar Mein Bhook Se Marnay Waalay Sekrro’n Bachay Bhi Us Hi Soobay Kay Baasi Thay Jahan Kuch Roz Qabal Kam Wa Besh 50 Karror Rupay Kay Akhraajaat Se “Sindh Festival” Manaaya Gaya Tha. Apna Pait Kaat Kar Aulaad Ka Pait Bharnay Waalay Maa Baap Kay Liye Yeh Manaazir Qayaamat Se Kam Na Hongay Jub Unka Roshan Mustaqbil Us Shehr Mein Bhook Se Bilak Bilak Kar Mar Raha Hoga Jahan Mojood Insaani Huqooq Ka Daawedaar Laakh Din Kay Kharch Kay Sota Hai.

Saqaafat Kay Alambardaaro Kay Daaway Kaam Aaye Naa Hi Jhanday Lehra Kar World Record Bananay Waalo Kay World Record. Rehgaya To Bus Afsos, Maao’n Ki Ujarr Chuki Goad, Baap Ki Sooni Ungliyan Aur Mat-Maylay Khilonay. Khasyanay Siyastdaano Par Bhi Sad Afsos, Jo Maslay Ka Hal Talaash Karne Kay Bajaaye Aik Doosray Par Malba Daaltay Rahay.

Sirf In Ameer Logo’n Par Hi Malaamat Nahi, Hum Bhi Doodh Kay Nahi Dhulay Hain. Jub Thar Mein Yeh Mout Ka Score Bharr Raha Tha, Tub Hum Bhi Apni Television Screens Par Cricket Ka Score Mulaahiza Farmaa Rahhay Thay. Hum Aik Behis, Balkay Intihaai Behis Qom Honay Ki Hesiyat Se Apnay Faraaiz Paspa Kar Kay Apnay Zameer Ko Yeh Tassali De Rahay Thay Kay Jinko Hum Ne Chuna Hai Woh Sub Sambhaal Lenge. Yaa Shayad Humein Phir Kisi Muhammad Bin Qasim Ka Yaqeen Tha Jo Aayega Aur Sub Ko Bachaalega. Hum Bhi Yeh Jaan Kar Anjaan Thay Kay Aik Aur Basti Mohin-Jo-Darro Ban’nay Jaa Rahi Hai. Kai Hazaar Aur Marenge To Humari Aanay Waali Naslo’n Ko Bhi Raqs Karnay Kay Liye Aik Aur Mohin-Jo-Darro Muyassar Hoga.

Nahi, Naya Mohin-Jo-Darro Tharparkar Nahi Balkay Hamaray Apnay Shehar Hain Aur Humare Apnay Dil Hain. Naye Mohin-Jo-Darro Mein To Hum Bastay Hain, Jahan Hamari Bebasi Aur Khud Gharzi Humein Yeh Sochnay Tak Pe Majboor Nahi Karti Kay Humein Bhi Kisi Mohin-Jo-Darro Mein Hi Apni Naa Khatam Honay Waali Zindagi Ka Aghaaz Karna Hai Aur Us Aghaaz Kay Liye Hamaara Maazi Kitna Shaffaaf Hai, Yeh Hum Dil K Kisi Konay Mein Jaantay Bhi Hain Magar Is Par Amal Karnay Se Bezameer Se Hain.

junaid khawaja
About the Author: junaid khawaja Read More Articles by junaid khawaja: 4 Articles with 4560 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.