Pakistan Film Industry

(Ali Bhatti, nankana sahib)

Kafi Arsy Sy Mayari Films Na Banny Ki Waja Sy Pakistan Ki Industry Buri Trha Zwal Ka Shikar Hai Ik Hi Trha Ki Films Ban Rahi Hain Jin Ka Topic Ik Hi Hota Hai Jis Ki Waja Sy Logon Ny Canima Jana Hi Chor Dia Hai Ab Sirf Hindi Films Dekhny K Liye Hi Log Jaty Hain Jo K Hamary Culture Hamari Rawayat K Mutabiq Nahi Koi Bhi Film Ho Us Me Un Ka Apna Pehnawa Apni Rawayat Hoti Hain Is Waja Sy Shareef Aur Muheb E Watan Banda Cinema Nai Ja Skta .

Kafi Arsa Bad Hamayon Saeed Ny Ek Bahut Achi Koshish Ki Film Industry Ko Apny Pairon Py Khara Karny Ki Aur MAIN HUN SHAHID AFRIDI Banai Usy Thek Pakistan K Culture Aur Rawayat Ko Mad E Nazar Rakh Kar Banaya Gya Aur Wo Kamyab Bhi Rahi Phir Pakistan Ki Movie Waar Aai Ham Jaisy Log Jo K Muhb E Watan Bhi Hain Aur Apny Pakistani Logon Ko Agy Ata Dekhna Chahty Hain Sirf Apny Culture Aur Apni Pehchan Ki Khatir Kafi Arsa Bad Film Dekhny Gaye.

Koshash To Achi Thi Lekan Us Me 70% English Diloges Hony Ki Waja Sy Aam Banda Samjhny Sy Qasir Raha.
 
Bahar Hal Us Ny Bhi Pakistani Industry Ko Dobara Behtr Positon Py La Khara Kia Hai.
Ab Aagy
Opration 021
Hijrat
Saya E Khudaye Zuljalaal
Aur Kaptaan Jaisi Films Aa Rahi Hain Aur Umeed Ki Ja Sakti Hai K Ye Films Industry Ko Sahara Den Gi Aur Usy Apny Pairon Py Khara Karen Gi
Aur Kam Az Kam Pakistan Industry Sy Gandasa Culture Ka Khatama Ho Aur Achi Aur Mayari Films Bane Jis Waja Sy Na Sirf Industry Chaly Gi Balky Bahut Sy Gharon K Chohly Jalen Gy Apny Fankaar Aagy Aen Gy Aur Baen Ul Aqwami Satah Py Pakistan Ka Jo Image Dehshat Gardi Ki Waja Sy Kharab Hua Hai Wo Behtar Banany Me Mada Mily Gi.
Pakistan Zinda Abaad
 

Ali Bhatti
About the Author: Ali BhattiThe reason I talk to myself is because I’m the only one whose answers I accept.. View More