Shaitan Ki Izzat Or Zillat

(Sayyeda Aariba, Latur)

Shatan Ka Naam Pehlay Aasman Par Aabid' dosray Par Zahid' tesray Par Aarif' chotay Par Walli' panchvay Par Muttaqi' chattay Par Azazil Or Loh A Mahfoze May Iblees Tha Wo Apni Aqbit Say Bayfikr Tha Jab Isy Adam AS Ko Sajda Karne Ka Hukam Hua To Kehny Laga ALLAH Tunay Isy Mujh Par Fazilat Di Halankay May Ussay Hon Tune Isy Aag Or Mitti Say Paida Kiya ALLAH Nay Farmaya Jo Chahta Hon Wo Karta Hon. Shaitan Nay Apnay Aap Ko Adam AS. Say Bahtar Samjha Or Takbur Ki Vajha Say Adam AS. Say Mo Phear Kar Khara Hogaya Jab Farishto Nay Sajday Say Sar Othaya To Unhone Dekha Iblees Ne Sajda Nahi Kiya To Dobara Sajda A Suhkar Me Girgay Iblees By Talluq Khara Raha Isay Apnay Is Fail Par Koi Paishmani Nahi Hoi Tab ALLAH Ne Is Ki Surt Maskh Kardi Khanzir Ki Tarha Latka Mo Sar Uont Ki Tarha Sena Bade Uont Kai Kohan Jaisa Bandar Jaisa Chaehra Ankhai Khari Nathne Hajjam Ka Kozai Ki Tarha Khalay Hont Bail Ki Tarha Latkai Hoi Dant Khnzer Ki Tarha Bahar Nekley Hoi Dari Me Chand Bal Isi Surat Me Usy Jannat Say Phainka Gaya Balk Bahyanak Jazair Ki Taraf Phainka Gaya. Ek Bar Iblees Ne ALLAH Say Kaha A ALLAH Tone Adam AS. Ki Aulad Me Nabi Banay In Par Kitabai Nazil Ki Mere Rasul Or Kitabai Kya Hai Javab Diya Gaya Mazamer Bajane Vale Tere Rasul Gadhi Hoi Khal Tere Kitabai Jhot Tere Hadis Ganday Ashar Tere Quran Gany Vale Tere Mozzan Bazar Tere Masjid Hamam Khana Tera Ghar Har Vo Khana Jis Par ALLAH Ka Nam Na Liya Jay Shrab Tera Mashrob Hai Aurtein Tere Phanday Hai

Sayyeda Aariba
About the Author: Sayyeda Aariba Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.