Islam Aur Aaj Ka Musalman

(QARI MUHAMMAD USMAN MUHAMMDI, OKARA)

Is Kaynaat Aur Tamaam Maqluqat Ko ALLAH TAALA Ne Paida Farmaya Hai.Aasman Aur Zameen Inke Darmiyan Me Jitni Cheezen Hai Sab ALLAH TAALA Ke Khanoon Ke Mutabiq Apni Apni Zimmedari Puri Kar Rahi Hai.Bus Ek Insaan Hi Hai Jo Is Zimmedari Se Hamesha Hi Se Piche Hat Ta Araha Hai, Hum Insaano Ko Ashraful Maqluqat Kaha Gaya Is Ka Matlab Kya Hai?
Tamaam Maqlooqon Me Sabse A’ala To Phir Sab Maqlooqon Me Sabse Piche Kyu Hai.
Hame Insaan Isliye Banaya Gaya Kyu Ke Hum Apni Maut Ka Samaan Tayyar Kar Sake Wo Kaise ? Wo Aise ALLAH TAALA Ke Hukm Aur Rasool Allah(PBUH ) Ki Sunnaton Per Chal Ke Hoga.

ALLAH TAALA Farmate Hai Ke
﴿مَنْ عَمِلَ صَـلِحاً مِّن ذَكَرٍ أَوْ أُنْثَى وَهُوَ مُؤْمِنٌ فَلَنُحْيِيَنَّهُ حَيَوةً طَيِّبَةً وَلَنَجْزِيَنَّهُمْ أَجْرَهُم بِأَحْسَنِ مَا (كَانُواْ يَعْمَلُونَ ﴾Sureh Nahal, Aayat 79)
(97. Whoever Does Righteous Deeds - Whether Male Or Female - While He (Or She) Is A Believer; Then We Will Certainly Give Them A Good Life, And We Will Certainly Grant Them Their Rewards In Proportion To The Best Of What They Used To Do.)

PAKEEZAH ZINDAGI QURAN Aur HADITH Ki ROSHNI ME
(وَإِذَا فَعَلُواْ فَـحِشَةً قَالُواْ وَجَدْنَا عَلَيْهَآ ءَابَاءَنَا وَاللَّهُ أَمَرَنَا بِهَا قُلْ إِنَّ اللَّهَ لاَ يَأْمُرُ بِالْفَحْشَآءِ أَتَقُولُونَ عَلَى اللَّهِ مَا لاَ تَعْلَمُونَ - قُلْ أَمَرَ رَبِّي بِالْقِسْطِ وَأَقِيمُواْ وُجُوهَكُمْ عِندَ كُلِّ مَسْجِدٍ وَادْعُوهُ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ كَمَا بَدَأَكُمْ تَعُودُونَ - فَرِيقًا هَدَى وَفَرِيقًا حَقَّ عَلَيْهِمُ الضَّلَـلَةُ إِنَّهُمُ اتَّخَذُوا الشَّيَـطِينَ أَوْلِيَآءَ مِن دُونِ اللَّهِ وَيَحْسَبُونَ أَنَّهُم مُّهْتَدُونَ ) (28. And When They Commit A Fahishah, They Say: "We Found Our Fathers Doing It, And Allah Has Commanded It For Us.'' Say: "Nay, Allah Never Commands Fahishah. Do You Say About Allah What You Know Not'') (29. Say: "My Lord Has Commanded Justice And That You Should Face Him Only, In Every Masjid And Invoke Him Only, Making Your Religion Sincere To Him. As He Brought You (Into Being) In The Beginning, So Shall You Be Brought Into Being Again.'') (30. A Group He Has Guided, And A Group Deserved To Be In Error; (Because) Surely, They Took The Shayatin As Supporters Instead Of Allah, And Think That They Are Guided.)

Volumn 002, Book 023, Hadith Number 331.SAHIH BUQARI
-----------------------------------------
Narated By Al-Bara' Bin 'Azib : Allah's Apostle Ordered Us To Do Seven Things And Forbade Us To Do Other Seven. He
Ordered Us: To Follow The Funeral Procession. To Visit The Sick, To Accept Invitations, To Help The Oppressed, To Fulfil The
Oaths, To Return The Greeting And To Reply To The Sneezer: (Saying, "May Allah Be Merciful On You," Provided The
Sneezer Says, "All The Praises Are For Allah,"). He Forbade Us To Use Silver Utensils And Dishes And To Wear Golden
Rings, Silk (Clothes), Dibaj (Pure Silk Cloth), Qissi And Istabraq (Two Kinds Of Silk Cloths).

Aaj Ka Musalmaan Kaisa Hai
Kya Hum Musalman Hai??
Ji Haan Hai Sirf Naam Hi Ke Musalman Hai Bus, Baaki Sab To Hum ALLAH TAALA Ke Against Jaaker Karte Hai....

Kisi Ne Ye Soncha Hai Ke Hamara Maqsad Kya Hai Zindagi Ka, Hame Yaha Zameen Per Kyun Bheja Gaya??

Ji Hame Isliye Bheja Gaya Kyun Ke Ham Apni Aaqirat Ka Saaman Lekar Jaane Ke Liye, Hum Aaqirat Ka Saaman Kaise Lenge Aur Kaise Ikattha Karenge....

Namaz, Quran Aur Sunnah Ko Follow Karenge To Hum Kya Jannati Honge, Ji Kuch Hadd Tak To Ye Baat Theek Hai, Bilkul Theek Hai Lekin Kuch Log Aise Hote Hai Namaz Bhi Parte Hai, Quran Bhi Parte Hai Aur Sunnath Per Bhi Amal Karte Hai Lekin Baaki Saare Bure Kaam Karte Hai Aur Agar Bure Kaam Naa Bhi Kare Ho To Wo Log Kuch Aise Kaam Bhi Nahi Karte Jo ALLAH TAALA Ki Raah Me Kare Jaye, Jaise Ki Har Koi Hame Raasta Dikhane Wala Hota Hai Sahi Raasta, Lekin Hame Ye Janna Zaruri Hai Ke Jo Raasta Dikhane Wala Hai Kya Wo Bhi In Baaton Per Amal Karta Hai Ke Nahi.Agar Nahi Karta To Use Follow Karna Bhi Ghalat Hoga.Aur Saare Neak Kaam Karte Hai Wo Log Lekin Khud Apne Andar Bugz, Keena Ya Hasad Lekar Ghumte Hai. Ye To Kuch Chan Baaten Hai Jo Mai Aapsab Ko Bata Raha Hu, Aur Iske Peeche Bohot Si Baaten Hai Jaise Ki Ham Per Jo Cheezen Farz Kardi Gai Hai Wo To Beshak Ham Un Cheezon Ko Tark Nahi Kar Sakte Jaise Ki Namaz Hai, Kya Namaz Ke Baghair Ek Aadmi Musalmaan Hosakta Hai Jinahi

Ek Misaal Dena Chahunga : Agar Insaan Ki Gardan Uske Jism Se Alag Kardi Jaaye To Kya Wo Zinda Reh Sakta Hai, Nahi Bilkul Nahi Reh Sakta To Aise Hi Namaz Ke Baghair Ek Aadmi Musalmaan Bhi Nahi Hosakta..

Ham Musalmaan Isliye Hai Kyun Ke Hamare Buzurg Musalmaan The Aur Ittefaq Se Ham Bhi Musalmaan Hogae, Agar ALLAH Na Kare Koi Kuffar Ke Ghar Paida Hote To Hamara Kya Hashar Hota Tha Ye Sonch Kar Shayad Hi Sabke Rongte Thair Jaenge, To ISLAM Hamari Jaagir Nahi Hai Jo Ham Apne Paas Saint Ke Ya Utha Kar Rakh Rahe Hai, Ye Aisa Mazhab Hai Jisse Har Kisi Ko Iski Daawat Deni Chahiye Abi Bhi Jaagiye Doston Kuch Nahi Bigra Isse Pehle Der Hojae Hame Bhi Nikalna Chahiye Jin Logon Ko ISLAM Ke Baare Me Ratti Barabar Bhi Nahi Pata Unlog Ku ISLAM Ki Daawat Dena Hamara Farz Hai Agar Pooch Hogi To Kya Ham Sab Iska Jawaab Deskange...

Aur Log Dusre Mazaheb Ke Liye Itni Koshishen Kar Rahe Hai To Kya Ham ISLAM Ke Liye Kuch Nahi Kar Sakte?
ISLAM Ya Deen Sikhana Matlab Sirf Tableegh Karna Hi Nahi Hota, Balke Hame Jitni Bhi Malumaat Hai Wo Doosron Se Share Karna Chahiye Aur Logon Ko Islam Ke Baare Me Batana Chahiye..

Agar Hum Namazon Ki Pabandi Khushu Aur Khuzu Ke Saat Adaa Karenge Aur Saath Me Quran-E-Paak Ki Tilawat Karenge To Iska Ajar Hame Zaroor Milega.

Kehte Hai Ke Na’fil Namaz Se Insaan ALLAH TAALA Ke Behad Khareeb Hojata Hai, Wo Tab Hota Hai Jab Ke Wo Saare Faraiz Adaa Karliye Ho Uske Baad Na’fil Ki Taraf Aayen Aur Wo Na’fil Jo Raat Ke Andhere Me Parhi Jaye To Iski Baat Hi Kuch Aur Hai Aur Iska Sawaab Sabse A’laa Hai.

Imam Abu ’L-Qasim Al-Junayd Al-Baghdadi Kehte Hai “…We Only Benefitted From The Small Units Of Prayer We Did Late At Night.”

(Nor Be Sad, And You Will Be Triumphant If You Are Indeed Believers), For Surely, The Ultimate Victory And Triumph Will Be Yours, O Believers.) (3:139 End...)
﴿إِن يَمْسَسْكُمْ قَرْحٌ فَقَدْ مَسَّ الْقَوْمَ قَرْحٌ مِّثْلُهُ

(29. Muhammad Is The Messenger Of Allah. And Those Who Are With Him Are Severe Against Disbelievers, And Merciful Among Themselves. You See Them Bowing Falling Down Prostrate, Seeking Reward From Allah And Acceptance. The Mark Of Them Is On Their Faces From The Traces Of Prostration. This Is Their Description In The Tawrah. But Their Description In The Injil Is Like A Seed Which Sends Forth Its Shoot, Then Makes It Strong, And Becomes Thick And It Stands Straight On Its Stem, Delighting The Sowers, That He May Enrage The Disbelievers With Them. Allah Has Promised Those Among Them Who Believe And Do Righteous Good Deeds, Forgiveness And A Mighty Reward.)
(مُّحَمَّدٌ رَّسُولُ اللَّهِ وَالَّذِينَ مَعَهُ أَشِدَّآءُ عَلَى الْكُفَّارِ رُحَمَآءُ بَيْنَهُمْ تَرَاهُمْ رُكَّعاً سُجَّداً يَبْتَغُونَ فَضْلاً مِّنَ اللَّهِ وَرِضْوَاناً سِيمَـهُمْ فِى وُجُوهِهِمْ مِّنْ أَثَرِ السُّجُودِ ذَلِكَ مَثَلُهُمْ فِى التَّوْرَاةِ وَمَثَلُهُمْ فِى الإِنجِيلِ كَزَرْعٍ أَخْرَجَ شَطْأَهُ فَآزَرَهُ فَاسْتَغْلَظَ فَاسْتَوَى عَلَى سُوقِهِ يُعْجِبُ الزُّرَّاعَ لِيَغِيظَ بِهِمُ الْكُفَّارَ وَعَدَ اللَّهُ الَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ الصَّـلِحَـتِ مِنْهُم مَّغْفِرَةً وَأَجْراً عَظِيماً )

ALLAH TAALA Ki Bandagi Kya Hai
ALLAH TAALA Ke Siwae Koi Ma’bood Nahi Aur Rasool ALLAH(PBUH) Unke Nabi Hai Aur Bandage Is Cheez Ka Naam Hai Ke Kisi Ke Saamne Intehai Mohabbat Aur Ajeezi Ka Izhar Kiya Jaye Aur Dil-O-Jaan Se Iski Itaa’at Ko Iqtiyar Kiya Jaye.

ALLAH TAALA Ki Bandagi Aur Itaa’at Sirf Shoba Ibadaat Hi Me Nahi Balke Zindagi Ke Har Shobe Me Iski Itaa’at Karna Aur Iske Ehkamat Aur Nabi Kareem(PBUH) Ke Batae Tareeqon Ko Iqtiyar Karna ALLAH TAALA Ki Bandage Hai.

Chunaache ALLAH TAALA Ka Irshaad-E-Mubarak Hai
﴿لَّيْسَ عَلَيْكَ هُدَاهُمْ وَلَـكِنَّ اللَّهَ يَهْدِى مَن يَشَآءُ وَمَا تُنفِقُواْ مِنْ خَيْرٍ فَلاًّنفُسِكُمْ وَمَا تُنفِقُونَ إِلاَّ ابْتِغَآءَ وَجْهِ اللَّهِ وَمَا تُنفِقُواْ مِنْ خَيْرٍ يُوَفَّ إِلَيْكُمْ وَأَنتُمْ لاَ تُظْلَمُونَ - لِلْفُقَرَآءِ الَّذِينَ أُحصِرُواْ فِى سَبِيلِ اللَّهِ لاَ يَسْتَطِيعُونَ ضَرْبًا فِى الاٌّرْضِ يَحْسَبُهُمُ الْجَاهِلُ أَغْنِيَآءَ مِنَ التَّعَفُّفِ تَعْرِفُهُم بِسِيمَـهُمْ لاَ يَسْـَلُونَ النَّاسَ إِلْحَافًا وَمَا تُنفِقُواْ مِنْ خَيْرٍ فَإِنَّ اللَّهَ بِهِ عَلِيمٌ - الَّذِينَ يُنفِقُونَ أَمْوَلَهُمْ بِالَّيْلِ وَالنَّهَارِ سِرًّا وَعَلاَنِيَةً فَلَهُمْ أَجْرُهُم عِندَ رَبِّهِمْ وَلاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ ﴾
(272. Not Upon You (Muhammad ) Is Their Guidance, But Allah Guides Whom He Wills. And Whatever You Spend In Good, It Is For Yourselves, When You Spend Not Except Seeking Allah's Face. And Whatever You Spend In Good, It Will Be Repaid To You In Full, And You Shall Not Be Wronged.) (273. (Charity Is) For Fuqara' (The Poor), Who In Allah's Cause Are Restricted (From Travel), And Cannot Move About In The Land (For Trade Or Work). The One Who Knows Them Not, Thinks That They Are Rich Because Of Their Modesty. You May Know Them By Their Mark, They Do Not Beg Of People At All. And Whatever You Spend In Good, Surely Allah Knows It Well.) (274. Those Who Spend Their Wealth (In Allah's Cause) By Night And Day, In Secret And In Public, They Shall Have Their Reward With Their Lord. On Them Shall Be No Fear, Nor Shall They Grieve.)

KAAMIL MOMIN AALAM-E-KUFR KE LIYE QATRA
Musalmaano Ki Haalat Dekhen To Arbon Hone Ke Bawajood Dunya Me Inki Koi Haisiyat Nahi Har Jagah Zalil-O-Khwar Halanke Masjiden Namazion Se Bhari Hoti Hai Aur Lailaha Illallah Ki Awaaz Buland Horahi Hai .Laakhon Nahi Balke Karodon Ki Tadaad Me Log Aise Bhi Hai Khud Apni Hi Namaz Nahi Parhte Balke Dusron Ko Bhi Namazon Ke Liye Bulate Hai Gali Gali Me Deeni Darsgah Bhi Ban Rahi Hai Lekin Kuffaron Ko Mazeed Taraqi Horahi Hai, Wo Isliye Ki Ye Kabhi Bhi Adhure Musalman Se Shikast Nahi Khai Aur Na Hi Isse Kabhi Qatra Mehsus Kiya, Halanke Kuffaron Ko Hamesha Aise Musalman Ne Shikast Di Aur Isse Qatra Raha Hai Jo Puri Tarah Se ALLAH TAALA Ki Bandage Ki Taraf Logon Ko Bulata Hai.

Ambiya Alaihusalaam Ko Inke Buland Aqlaaq Aur Kirdaar Ke Bawajood Inki Quomon Ne Inko Bardasht Nahi Kiya Hatta Ke Khalkhe Azeem Per Faaiz E Shaqsiyat Khaatimun Nabiyeen Rasool Allah(PBUH) Ko Bhi Apna Watan Chorna Para Tha Ye Kyun?? Kyun Ki Aisi Azeem Shaqsiyaton Se Hi To Kufaar Hamesha Se Chamakte Aaye Hai Aur Darte Aaye Hai Kyu Ke Inlogon Ko Aisi Shaqsiyaton Se Hi Khatra Hamesha Tha, Agar Koi Adhura Musalman Aaye Aur Ek Kuffar Use Aisa Sawaal Karde Ke Uska Jawab Wo Shaqs Ke Paas Na Ho, To Wo Sharm Se Paani Hojaega, To Kya Aise Musalman Se Musalman Na Hona Acha Hai Kya?

Kuch Ashaar Pesh Karta Hu Is Per…
ZINDAGI WO CHEEZ KAR DE, JISSE RAZA-E-KHUDA HOJAYE,
NA DIL MEIN JAB KOI AFSOOS HOGA, AGAR MOUT BHI AJAYE..

MUSALMANO KI MAUJOODA ZILLAT KA ILAAJ
Isme Koi Shak Nahi Ke Hamare Ulma Ikram Ne Saare Aalam Ke Saamne ISLAM Ko Rakh Kar Samjhaya Aur Samjha Rahe Hai Lekin Islam Dusman Quwaten Jis Qadar Mansube Bandi Ke Saath ISLAM Ko Batane Ki Koshishen Kar Rahe Hai Nasd Khud ISLAM Ke Naam Se Tehreeken Chal Rahi Hai Ao Apnea Mal Aur Bayaan Se ISLAM Ko Chan Shobon Tak Mehdud Kar Rahi Hai.

Isliye Waqt Ka Ehem Tareen Taqaza Aur Farz Hai Ki Isi Saaleh Aur Masleh Jamaat Khadi Ho Jo Musalmano Me Tauheed Ka Sahi Shaur Paida Karke Logon Ko Ibadat Aur Bandage Ka Sahi Mafoom Bataen . Sirf Zabaan Aur Qalm Se Nahi Balke Apnea Mal Se RAB Ki Tauheed Ki Shahadat Aur Gawahi De Aur Ye Ke Ye Khud ALLAH TAALA Ki Bandage Ke Rang Me Range Ho Aur Dusron Ko Bhi ALLAH TAALA Ke Rang Me Rangne Ke Liye Khade Hojaen.

At Last A Quote From Imam Ghazali
“Even If A Person Reads And Teaches A Hundred Thousand Books On Intellectual And Knowledgeable Issues But Does Not Act On Any Of It, Then It Will Not Benefit Him At All…”

Is Contest Se Bohot Kuch Seekhne Ka Mauqa Mila, Jaisa Ke ISLAM Ke Talluq Se Bohot Si Cheezen Pata Chali Dhundne Me Aur Kaafi Malumat Me Bhi Izafa Hua, Aise Contest Future Me Bhi Hone Chahiye Take Sabko ISLAM Ke Mutabiq Achi Malumat Me Izafa Ho Aur Wo Dusron Ko Bhi Sikha Saken.

Is Topic Ke Zariye Maine Bohot Se Baaten ISLAM Ke Mutabiq Pata Kiye Hai Jaisa Ke Kuch Surah Aur Hadeeson Ke Hawalon Se Maine Refrences Diye Hai Jo Mujhe Dhundne Per Mile, Aise Contest Agar Future Me Ho To Sabke Liye Bohot Behtar Hoga Aur Sabko Kuch Na Kuch Seekhne Ko Milega..

Is Contest Ke Liye Mai Sabse Pehle ALLAH TAALA Ka Shukar Adaa Karta Hu.Lekin Meri Koshish Dusron Ke Baraber To Nahi, Lekin Kuch Hadd Tak Ki Hai Tym Ki Kami Ki Wajah Se Maine Kuch Zyada Detail Me Baaten Nahi Ki, Lekin Ye Mauzu Aisa Hai Jitna Sukoon Se Aur Brief Me Kaha Jae Utna Acha Rahega, Agar Waqt Mila To Mai Ek Alag Se Column Zaroor Likhunga Is Topic Per, Aur Maine Pehle Bhi Share Kiye The Aise Column.

ALLAH TAALA Jazae Khair De Sabko Ameen Ya RABBUL Alameen.

QARI MUHAMMAD USMAN MUHAMMDI
About the Author: QARI MUHAMMAD USMAN MUHAMMDI Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.