Lafz Hind Ki Kahani

(maqsood hasni, kasur)

Lafz Hind Ki Kahani
Kuch Mairi Aur Kuch Auroun Ki Zobani

By: Prof. Mr.Maqsood Hasni
Mr. Urdu,
MA (Urdu, Pol Sc., Eco, Hist.)
Mphil (Urdu), Doct. (Lings.), P. Doc. (Lings.)

Lafz Hind/Hindu Kay Hawala Say Saikroun Safaat Qalam’band Ho Chukay Hain Es Kay Ba’vajoud Natija Dhak Kay Tein Paat Raha Hai. Es Lafz Ki Tehqeeq Say Tein Chizain Wabasta Nazar Aati Hain:
1. Dharam
2. Alaqa
3. Zoban
 
Yah Tinoun Chizain Bari Hisas Hain Es Liay Es Lafz Say Jan Chorea Nahain Ja Sakti. Mohaqein Ki Mase Apni Jaga Likin Lafz Ki Jar Tak Rasae Na Ho Pana, Eak Sawaliay Ki Shakal Main Es Dharti Say Juray Logoun Kay Liay Khasusan Aur Mahirein-E-Arzyaat Aur Mahirein Lisanyaat Kay Ru-Ba-Ru Omomi Sata Par Khara Hai.

Es Lafz Kay Baray Main Kaha Jata Hai Kah Yah Lafz Sindhu Ki Bigri Hoe Shakl Hai. Choun’kah (Arab) Mosalman Sindhu Lafz Ada Nahain Kar Saktay Thay Es Liay Onhoun Nay Sindhu Ko Hindu Main Talfaz Kiya. Es Zimun Main Kuch Touzihaat Paish Ki Ja Sakti Hain. Maslan
• Aawaz Sein Ka Tabadal Kisi Bhi Zoban Main Hay Maqsura/H Nahin.
• Aawaz Sein Donyan Ki Taqribun Her Zoban Main Mojoud Hai Aur Tha. Aawaz Sein Say Motalaqa Mosam, Mahoul Aur Qudrati Halaat Donyan Kay Taqribun Her Khitay Main Mojoud Rahay Hain.
• Arbi Main Sein Say Milti Dou Aawazain Say Aur Sawad Bhi Mojoud Hain Es Liay Sein Kay Elawa En Dou Aawazoun Ki Mojoudgi Main Kisi Mutbadal Aawaz Ka Ravaj Pana Qiyas Aur Soch Say Bahar Ki Cheez Hai.
• Arbi Main Dhay Mojoud Nahain Es Kay Tabadal Ki Dou Suratain Samjh Main Aati Hain.
1. Daal+Hay Maqsura
2. Daal Say Lafz Ki Adaegi Sindu. Yah Lafz Sindhu Kay Qareeb’tarein Hai.

Darya-E-Sindh Kay Os Ya Es Par Kay Logoun Ko Agar Hindu Kaha Jata To Baat Kisi Haad Tak Samjh Main Aa Sakti Thi. Hind Ki Dour Daraz Walaetoun Say Motalaq Logoun Ko Hindu Naam Daina Logic Aur Samjh Say Bahar Ki Cheez Hai.
Sindhu Ko Arboun Ka Hindu Talafz Karna Yaqenun Kisi Mahar-E-Lisanyaat Ki Samjh Main Nahain Aa Sakta.

Yah Bhi Kaha Jata Hai Kah River Sindhu Kay Os Par Kay Mosalmanoun Nay Yahaan Kay Logoun Ya Phir Yahaan Kay Dharam Say Motalaqa Logoun Ko Yah Naam Diya. Yahaan Bhi Tein Chizain Samnay Aati Hain:
• Mazahab Ki Hamaisha Say Khud Apnay Hawala Say Pehchan Aur Shanakht Rahi Hai. Koe Dosra Ossay Naam Nahain Day Sakta.
• Agar Hindu Mazhab Nahain Bal’kah Kalchay, Jaisa Kah Kaha Bhi Jata Hai To Es Zimun Main Kehna Yah Maqsood Hai Kah Donyan Kay Her Kalchar Ka Apna Hawala Apna Alaqa Apnay Log Apnay Mosam Apnay Qudarti Halaat Apna Pani Apni Khourak Aur Khud Say Apna Naam Raha Hai.
• Yah Dharma Mosalmanoun Ki Aamad Say Sadyoun Pehlay Yahaan Mojoud Tha Es Liay Esaay Mosalmanoun Ka Aa Kar Naam Daina Darust Nahain Lagta
• Es Walaet Main Seraf Yahi Eak Dharma Nahain Tha.
1. Bani Israel Kay Nabi Kaam Kar Rahay Thay.
2. Yahaan Kay Apnay Nabi Aa’ay.
3. Hazrat Zartusht Kay Pairu Mojoud Thay Aur Oon Ka Mosalmanoun Ki Aamad Say Bohat Pehlay Sika Chalta Tha. Mosalmanoun Ka Sika To Mohammad Bin Qasim Ki Aamad Kay Baad Chala Jab’kah Mosalman To Ehad-E-Risalat Say Aana Shuru Ho Gay Thay. Mohammad Bin Qasim Ki Aamad Say Peh Mosalmanoun Kay Hamlay Shuru Hogay Thay. Jin Ka Sika Chalta Ho Wohhi Es Qisam Ki Bari Tabdiliaan La Saktay Hain. Yah Naam To Mohammad Bin Qasim Ki Aamad Say Pehlay Mojoud Tha.

Es Zimun Main Eak Nazriya Yah Bhi Hai Kah:
“The Sindhu Was Misspelled By The Europeans As Indus, And From Indus The Word "Indian" Has Come.”
Yahaan Yah Baat Wazay Nahain Kah Yorap Waloun Say Koun Morad Hain. Woh Faransisi Thay, Walundaizi Thay, Purtaghali Thay Ya Angraiz Thay. Hind Ka Angraizi Tarjama Angraiz Dour Ki Yaad Hai. Lafz Hind Say Baias Hai Na’kah Inda Say. India Tarjama Angraizoun Ya Maghrab Waloun Ki Dain Ho Sakta Hai Ta’hum Es Ki Takhleeq Ka Karun Indus Nahain Ho Sakta. Kayoun’kah:
A. Sindh Eak Makhsous Aur Mahdoud Walaet Ka Naam Hai Ossay Puray Hindustan/Bar-E-Sagher Par Mehmoul Nahain Kiya Ja Sakta.
B. Agar Darya-E-Sindh Moqadas Aur Taqat Ki Alamat Tha To Ganga Aur Jamna Bhi Kuch Kam Moqadas Nahain Rahay. En Daryaoun Kay Hawala Say Hind Ka Koe Bhi Naam Par Sakta Tha.
C. Indus Ba’zat-E-Khud Tarjama Hai. Es Say India Takhleeq Pa Sata Hai Ya Pa Giya Ho Ga Likin Indus Ya India Hindustan Say Qatae Dou Alag Chizain Hain.
D. Hind+Satan Ka India/Indus Tarjama Darust Nahain. Haan Mostamal Ho Janay Kay Sabab Darust Mana, Samjha Aur Tasawr Kiya Giya Hai.
E. Galt-Ul-Aam Ko Asal Kay Motradaf Maan Liya Jata Hai Likin Wo Asal Ka Haqiqi Tabadal Nahain Hota Jaisay Qulfi Ko Qofli Kay Maenoun Main Samjha Jata Hai Halan’kah Yah Seray Say Darust Nahain Hai.

Es Zimun Main Eak Hawala Yah Bhi Malahza Farma Lain:
“The Holy Book Of Parsis, “Zindosta" Pronounces Sapt Sindhu As Hapt Hindu. ‘H’ Replaced Alphabet ‘S’. The Iranis Too Had Pronounced The Word Sindhu As Hindu.”
Yah Biyan Jari Karnay Walay Nay Sein Kay Tabadal H Kay Liay Farsi Ya Moqadas “Zindosta" Say Eak Lafz Bhi Ba’tour Hawala Darj Nahain Kiya.
Yah Bhi Kaha Jata Hai:
“The Term Hindu (Indu Or Intu In China) Is Still Used In Some Languages To Denote An Indian.”
Kuch Ka Khayaal Hai Kah Lafz Hind Kouh Hindu’kash Kay Hawala Say Vajoud Main Aaya Hai. Yahaan Dou Tein Batain Guftagu Talab Hain. Pahar Kay Sath Hindu Ka Sabqa Sawaliya Bun Kar Samnay Aata Hai. Baat Wahaan Ki Wahaan Hi Reh Jati Hai Kah Yah Lafz Pahaar Kay Naam Kay Liay, Kahaan Say Aaya.

Kaha Jata Hai Yah Pahaar Hindoun Ki Mout Ka Sabab Bana Ya Oon Ki Mout Kay Hawala Say Yah Naam Par Giya. Yahaan Dou Batain Zaihan Main Rehni Chahiein:
1. A-Lafz Hindu Kay Sath Lahqa Kosh Ho To Hi Essay Mout Ka Pahaar Kaha Ja’ay Ga. Log Mukhtalif Hawaloun Say Paharoun Ka Rukh Kartay Aa’ay Hain Safar Main Amwaat To Hoti Hi Rehtin Hain Yah Koe Aisi Nae Baat Nahain.

Abhi Kal Parsoun Ki Baat Hai, Pakistan Main Hawae Jahaz Kay Pahaar Say Takranay Kay Sabab Amwaat Hoe Hain. Es Pahar Ka Naam En Amwaat Kay Hawala Say Nahain Para. Phir Es Phaar Kay Hawala Say Kisi Subay Ya Puray Pakistan Ka Naam Hi Qarar Pa Ja’ay, Yah Kaisay Momkin Hai.

B-Mout Ka Koe Khas Hawala Mojoud Ho To Hi Essay Mout Ka Pahaar Kaha Ja Sakay Ga.

Es Ki Tein Aur Suratain Bhi Farz Ki Ja Sakti Hain.
1. Yahaan Koe Bari Larae Hoe Ho Gi Jis Main Bohat
Sari Halaqatain Hoe Houn Gi.
2. Pahaar Ko Abour Kartay Samay Amwaat Hoe Houn Go.
3. Parao Kay Doran Sardi Ya Baraf Bari Kay Sabab
Bhari Tadaad Main Log Mar Ga’ay Houn Gay. Es Zimun Main Ibn Batuta Ka Yah Hawala Diya Jata Hai. Woh Likhta Hai.
"Another Reason For Our Halt Was Fear Of The Snow. For Upon This Road There Is A Mountain Called Hindukush, Which Means 'The Slayer Of The Indians' Because The Horses And Animals Which Are Brought From The Land Of India Die There In Large Numbers As A Result Of The Extreme Cold And The Great Quantity Of Snow."
4. Dais Badar Honay Waloun Nay Edhar Ka Roukh Kiya
Ho Ga Aur Onhain Qudrati Aur Wahaan Kay Mosmi Hhalaaty Nay Mout Kay Ghat Otar Diya Ho Ga.

2. Lafz Hindu Kay Sath Lahqa Kach Ho To Es Kay Maeni Qate Mukhtalif Ho Jatay Hain.
A. Kach Rehnay, Parao, Teharnay, Aaram Karnay, Ja-E-Aqamamat Aur Ja’ay Panah Ko Kaha Jata Ha. Lafz Kouchar Essi Say Tarkeeb Paya Hai.
B. Hindu Tapasvi Omomun Paharoun Ka Roukh Kartay Aa’ay Hain. Oon Ki Aqamat Kay Sabab Es Ka Naam Kouh Hindu’kash Par Giya Ho.
C. Lafz Kach Hi Haqiqat Kay Qareeb’tarein Nazar Aata Hai.
D. Kouh Hindu’kach Bar-E-Sagher Ka Hissa Sahi Likin Markaz Say Bohat Dour Hai Lihaza Lafz Hind/Hindu Ki Tashkeel Ka Sabab Banta Qayas Say Bahar Ki Baat Hai. Haan Markaz Kay Hawala Say Yah Naam Ossay Mila Ho Ga.

E. Dais Badar Logoun Nay Es Pahar Kay Qurb-O-Jawar Main Panah Li Ho Gi Aur Phir Yahein Kay Ho Kar Reh Gay Houn Gay Aur Oon Ki Nasl Pheli Phuli Ho Gi. Yah Toje Yaqinun Bai’kaar-E-Mehez Nazar Nahain Aati. Wahan Es Nasal Ka Soragh Lagana Aaj Mokin Nahain Lagta Kayoun’kah Tagheraat Ka Amal Jari Raha Hai. Phir Bhi Kahein Na’khein Aur Kisi Na’kisi Sata Par Os Nasl Ka Soragh Lagaya Ja Sakta Hai.

Lahqa Kach Ho Ya Kosh, Es Say Koe Khas Farq Nahain Parta, Asal Baat Lafz Hind Ki Hai. Agar Hind Naam Mayassar Aaya To Kin Logoun Kay Zariya Say Aaya. Woh Log Koun Kis Alaqa Aur Kis Nasl Say Motalaq Thay.

Kisi Pahari Zoban Main Lafz Hindu Ba’tour Mahab Ka Bashinda Nahain Milta Nahi Ba’tour Jaga Aur Qoum Kay Milta Hai. Yah Naam Markaz Kay Hawala Say Mila Maloum Hota Hai Aur Phir Mostamal Ho Giya Ho Ga.

Yah Bhi Kaha Jata Hai Kah Hindustani Inhabited By Dark Complexioned Thay Aur Fair Skinned Jo Northwest Say Ta’alaq Rakhtay Thay, Nay Oon Ki Rangat Kay Sabab Bar-E-Sagher Kay Logoun Ko Hindu (Kali Rangat Walay) Naam Day Diya Ho Ga.

Bar-E-Sagher Koe Aam Khita-E-Araz Nahain Hai. Mosmi Aur Digar Zamini Halaat Waghera Kay Hawala Say Yahaan Mokhtalif Rangoun Kay Log Aqamat’pazeer Thay. Eak Alaqay Main Siya’faam Bhi Thay Aur Aaj Bhi Siya Aur Sanvli Rangat Walay Log Mukhtalif Jagoun Par Nazar Aatay Hain. En Siya Faam Ki Qaleel Tadad Kay Hawala Say Yahaan Kay Bashindoun Ya Phir Kisi Mazhab Say Mota’alaq Logoun Ko Yah Naam Nahain Diya Ja Sakta. Agar Farz Kar Lain Kah Yah Naam Rangat Kay Hawala Say Mila To Bhi Sawal Khara Rehta Hai Kah Oon Kay Pas Lafz Hind/Hindu Kahaan Say Aaya. Yaqinun Wahaan Bhi Kahein Say Mahajrat Karkay Aaya Ho Ga.
Kuch Log Es Lafz Ka Origen Ariyae Batatay Hain. Yah Lafz Seray Say Sanskrat Ka Nahain. Agar Arya Logoun Nay Yah Naam Diya To Bhi Kahein Aur Jaga Say Oon Kay Haan Mahajrat Karkay Aaya Ho Ga Jis Say Tein Batoun Ki Taraf Ishara Milta Hai:

1- Arya Log Kisi Aur Say Motasar Thay. Es Tara Lafz Hind/Hindu Ki Arya Logoun Say Pehlay Logoun Ki Taraf Tavajo Mur Jati Hai. Goya Arya Log Es Kay Mojad Nahain Thay.
2- Oon Par Kisi Aur Ka Yahaan Par Galbay Say Pehlay, Ghalba Raha Ho Ga.
3- Arya Log Arboun Ya Es Lafz Say Mota’alaq Logoun Say Lisani Hawala Say Motasar Thay
Eak Khayaal Yah Bhi Hai:
“The Greeks, Who Invaded India Under Alexander The Great, Drop The “H” Completely And Used The Name Indoos Or Indus Which Later Led To The Formation Of The Word India.”
Sikandar Say Pehlay Yonani Log Aa Chukay Hain. En Say Pehlay Bani Israeel Ki Bhi Aamad Ho Chuki Thi Thisri Baat Yah Kah Indus Indoos Ya Inda Ka Lafz Hindu Ya Hind Say Bhala Kiya Laina Daina. Indoos Ya Indus Say India Tarkeeb Pa Giya Ho Mana Ja Sakta Hai Likin Lafz Hind/Hindu Ki Alag Say Shanakht Baqi Rehti Hai.

Lafz Hindu Ba’tour Mazhabi Shanakhat, Yahaan Ki Moqadas Kotab, Maslan Baghvat’geeta, Ramaen Main Bhi Nahain Milti. Essi Tara Yah Lafz Vidik Adab Main Bhi Das’yaab Nahain Hai.
Yah Bhi Kaha Jata Hai Yah Naam Arab Mosalmanoun Nay Diya. Arab (1) To Hamaisha Say Mokhtalif Hawaloun Say Mosalmanoun Say Sadyoun Pehlay Aatay Jatay Thay. Es Tara Es Moamlay Main Arab Kay Sath Mosalmanoun Kay Lahqa Jachta Nahain.
Lafz Hind هند Arbi Ka Hai Aur Yah Arboun Ki Aamad Kay Sath Yahaan Warid Howa. Arbi Main Yah Lafz Mowanas (2) Hai Aur Es Kay Maeni :

Ontoun Ka Jhond "A Group Of Camels" Yah Maeni Qadeem Arboun Ki Taraf Lay Jatay Hain.
Es Lafz Kay Arbi Main Yah Maeni Aisi Ourat Kay Bhi Hain Jo Apnay Naz-O-Nakhra Aur Hosan-O-Jamal Say Dil Libha Laity Ho.
Hind Kay Maeni Fuck Kay Bhi Hain, Ho Sakta Hai Kisi Toaef Kay Hosn-E-Dilruba Kay Hawala Say Yah Naam Thehar Giya Ho.

Farsi Main Bhi Yah Lafz Arbi Say Daramad Howa Hai Aur Farsi Main Es Kay Maeni: Chour, Rahzan, Loutaira, Ghulam (3) Barda (Farma’bardar Khadam Jo Malkiat Main Ho), Sia Faam (Black Color) Kala (Black) Liay Jatay Hain. (4)

Maeni Chour Say Tavajo Es Janib Bhi Phir Jati Hai Kah Raja Dahar Kay Ehad Main Behri Qazaqoun Nay Arbi Mosalmanoun Ka Saman Lout Liya Jis Kay Sabab Yahaan Ka Naam Hind Ba’tour Loutairay Par Giya. Es Baat Main Koe Wazan Nahain Chand Logoun Kay Sabab Puri Hind Baradri Ko Mosalman Kayoun Motoub Karain Gay.

Kala, Zulmat Kay Maenoun Main Bhi Liya Jata Hai. Yahaan Kay Siya’fam Bashindoun Kay Hawala Say Yah Naam Nahain Tehra Kayoun’kah Yahaan Hamaimaisha Say Mukhtalif Rangoun Kay Log Aabad Chaly Aatay Hain.

Zulmat Kay Reference Say Kisi Mahajar Nabi, Fala’konda Waghera Nay Yah Naam Rakh Diya Ho Ga Likin Es Say Nafrat Ya Haqarat Ka Koe Pehlu Samnay Nahain Aata Ta’hum Siyahi Kay Hawalay Say Kae Marakbaat Sonnay Aur Parhnay Ko Miltay Hain: Maslan


Kala Monh (Black Mouth, Ugly Or Who Speaks Ill)
Monh Badaisi Lafz Hai.
Kali Jeebh (Evil Speaking Tounge)
Jeebh Mahajar Lafz Hai.
Kala Chore (Notorious Thief)
Kala Dhandha (Illegal Profession)
Kala Dhan (Black Money)
Kali Bhair (Black Sheep)
Kalai Laikh (Black Deeds)
Kalay Laikh (Misfortune/ Baad Luck)
Kala Chum (Black Skinned Person)
Kale Kartout (Bad Deeds)
Yah Misalain Ba’tour Zaeqa Tehreer Ki Gae Hain.
Hindustan Sonay Ki Chirya Thi Aur Hai. Es Liay Baroni Donyan Kay Log Arboun (5) Samait Yahaan Mukhtalif Hawaloun Say Aa’ay Likin Hindustan Kay Log Seraf:
• Barouni Hukamranoun Ki Fouj Main Ba’tour Sipa Ga’ay
• Tabligh Kay Liay Ga’ay
• Baruni Shahi Darbaroun Main Malazam Rahay
Yahaan Ki Walaitoun Main Wao Ki Barhoti Say Alfaz Bantay Aa’ay Hain. Maslun
Band Say Bandu,
Chand Say Chandu,
Saand Say Sandu,
Chaand Say Chaandu,
Gaand Say Gaandu Waghera Waghera
Ba’einhi Lafz Hind Say Lafz Hindu Tarkeeb Pa Giya Ho Ga. Jis Kay Maeni Walaet Hind Ka Basi Bantay Hain.

Mazhab Kay Hawala Say Lafz Barhmaan Ki Taraf Tavajo Jati Hai. Barhma Say Barahmun Aur Barahmun Say Ibraheem (AS) Ki Taraf Tavajo Phir Jati Hai Aur Yah Moamla Tehqeeq Talab Hai Kah Kiya Barahmun Hazrat Ibraheem (AS) Ki Nasl Say Mota’alaq Hain?!
Hindi Ba’tour Monshi Aur Motarjam Baruni Walaitoun Main Ga’ay Ho Sakta Hai Yah Lafz Who Khud Daramad Karkay La’ay Houn.

Lafz Hind Arboun Kay Zariay Yah Oon Say Ta’alaq Kay Hawala Say Yahaan Warid Howa. Essi Tara Farsi Lahqa Satan Farsioun Kay Towassat Say Hind Kay Sath Jur Giya. Farsioun Ka Ghalba Aur Asar-O-Rasukh Bohat Pehlay Say Yahaan Par Chala Aata Hai. Oon Ki Islamioun Say Bohat Pehlay Yahaan Kay Alaqoun Par Hakumat Rahi Hai.

Yahaan Ki Zobanoun Main Hazaroun Marakab Alfaz Mojoud Hain Jo Moqami Aur Gher Moqami Alfaz Say Tarkeeb-O-Tashkeel Pa’ay Hain. Maslan Zima’dar, Fouj’dar, Ainak, Aazmana (Aazmaesh Karna Ka Ekhtasar), Farrmana (Farmaesh Karna Ka Ekhtasar), Teh’band, Chadar, Doupata, Doumousa, Dou’monhhi, Hourain, Houraan, Qabahtain, Citiaan, Mintmar, Bound Nikalna, Advice Karna, Tease Karna Waghera Waghera.

Baroni Zobanoun Kay Alfaz Ki Kasrat Ko Daikh Khayaal Kar Liya Jata Hai Kah Falaan Zoban Falan Zoban Say Nikli Ya Bani Hai Ya Falaan Zoban Falan Ki Reshta Main Falan Lagti Hai. Es Qisam Ki Batain Qate Ghalt Hain. Hindustan Shuru Say Badaisioun Ki Amaj’gah Raha Hai Es Liay Badaisioun Ki Zobanain Yahain Ki Moqami Zobanoun Par Asar’andaz Hoti Rahi Hain Aur Ya Amal Aaj Bhi Jari Hai.
Darj-E-Bala Morouzaat Kay Tonazar Main Yah Maan Lainay Main Kiya Kharabi Hai:
• Lafz Hind Mahajar Hai
• Mosalmanoun Kay Dour Say Bohat Pehlay Ki Arbi Aur Arboun Say Yahaan Aaya Hai.
• Satan Ka Lahqa Mosalmanoun Kay Dour Say Bohat Pehlay Ki Farsi Aur Farsioun Say Liya Giya Hai.

Is Zail Main Eak Baat Yah Bhi Samnay Aee Hai Kah Hind Hazrat Haam Bin Nouh AS Kay Baitay Ka Naam Hai Aur Oon Ka Mazaar Baras, Sar'hind Main Hai. Is Tara Yah Tehray Ga Kah Hindustan Se Morad Hind-Santan Hai Yaeni Hind Ki Oulad. Goya Zoban Ka Naam Hindvi, Hindustani Waghera Say Tarkeeb Pa Gya Ho Ga. Jo Bhi Sahi, Kisi Tehqeeq Ko Hara-E-Akhir Ka Darja Nahain Diya Ja Sakta. Kaam Ki Gonjaesh Her Waqt Baqi Rehti Hai.
----------------------
1- Lafz Arbi Bar-E-Sagher Say Os Walaet Main Giya Hai Jo Donoun Molkoun Kay Qaribi Ta’alaq Ko Zahir Kar Raha Hai. Yah Lafz Yahaan Ka Lafz Adab Hai Aur Yah Aaj Bhi Punjabi Zoban Main Mostamal Hai.
2- Abu Sufyan Ki Bivi Hazrat Amir Moaviya Ki Maan Aur Yazeed Ki Dadi Ka Naam Hind Bin Utba Tha.
3- Lughet-E-Kishwari, Published In Lucknow In 1964
4- Urdu-Feroze-Ul-Lughat
5- Arboun Ko Awaliat Hasal Hai

maqsood hasni
About the Author: maqsood hasni Read More Articles by maqsood hasni: 170 Articles with 177144 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.