Ghoro-Fiqar

(Naveed Qammer, Lahore)

ALLAH Ke Bandon ALLAH Se Daro, ALLAH Sab Se Bara Hai Us Ka Koi Sareek Nahi, Us Ke Siwa Koi Abadat Ke Laaek Nahi Wo Akela Hai Usi Ki Badshahi Hai Aur Ussi Ke Liye Tamam Tareefein Hein Aur Wo Har Cheez Per Qadir Hai ALLAH Paak Hai.

Mein Gawahi Deta Hn ""ALLAH Ke Siwa Koi Abadat Ke Laaek Nahi Us Ka Koi Sareek Nahi Aur Hazrat MUHAMMAD (Peace Be Upon Him) ALLAH Ke Bande Aur Rasool Hein.

1....Mout Ko Apne Qareeb Tar Jano, Aur Zindagi Ko Ghanimat Samjh Ke Jiyo, Nimaz Is Halat Mein Parho,{A}: Yaqeen Ho Tumhen ALLAH Dekh Raha Hai,{B}:  Khofe Aelahi Dil Mein Ho, {C}:  Zehen Mein Ye Ho Ke Malkul-Mout Tumhen Lene Aya Hai Yehi Tumhari Akhri Nimaz Hai. [ QURAN:{Surah As-Sajda}Ayat No:15+16 ]. ""ALLAH Ko (Khof) Aur (Umeed) Se Pukaaro."" { Yani Ease Pukaro Jese Sab Log Jannat Ki Taraf Ja Rahen Hein Aur Tum Akele Dozaq Mein, Easa (Khof Ho).} {Aur (Umeed) Ho Tumhen Jese Sab Log Dozaq Mein Ja Rahen Hon Aur Tum Akele Jannat Mein Ja Rahe Ho.}

2....Haq(Sach) Ko Janana Ho To, Batil(Shetan) Ke Teeron Ko Dekho, Jahan Lag Rahe Hon Wo Haq(Sach) Hai.

3....Shetani Kaamon Ko Chor Do, Chahe Tumhen Nuqsan Bhi Ho.{ ALLAH Se Daro} [ QURAN:{Surah Ya-Seen}Ayat No:60+61 ]. "" Ae Ulaad-E-Adam Kaya Mein Ne Tum Se Ehad Na Liya Tha,Ke Shetan Ko Na Poojna,Beshak Wo Tumhara Khula Dushman Hai.Aur Meri Bandagi Karna,Ye Seedhi Rah Hai.""

4...Jo Apne Ap Ko Na Jan Saka Wo Dosron Ko Kaya Pehechany Ga.

5....Sajawat Ke Liye Paisa Lagaten Hein Sab, Ye Nahi Pata Ke Halal Mein Hisaab Aur Haraam Mein Azaab Hai. ALLAH Ka Diya Hoya Rizq, Haraam Per Mat Lagayo, Halaal Hai Sukar Ada Karo. Zaida(Barhe Yani Ameer) Ko Na Dekho, Kam(Chote Yani Gareeb) Ko Dekho.Shetani Kaamon Mein Jo Lagayo Ge Wo Haraam Hai,Shetani Kamon Ko Phechano?

6....Seeraab Wohi Hota Hai Jese Piyaas Ho........Kisi Sayal Ko Khali Hath Na Behjo,Ye Tumhare Upar ALLAH Ka Karam Hai,Ke ALLAH Ne Apni Makhlooq Ko Tumhare Darwaze Per Behjha Hai.

7...Har Kisi Ko Apne Se Behtar Jano, Jab Bhi Ghar Se Bahir Niklo Ya Kisi Se Milne Jayo.

Naveed Qammer
About the Author: Naveed Qammer Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.