Hum Kahan Hain

(Madiha ilyas, kharian)

Majooda Taleemi Aur Mazhabi Nazam Py Nazar Dalnay Sy Yeh Zaroor Pata Chalta Hai K Hum Ny Itnay Arsay Main Khud Ko Kahan Laa Kr Kharra Kr Dia Hai..Mazhabi Taleem Ki Dorr Pakroo Tu Duniya Chotati Nazar Aati Hai..Aasari Taleem Ki Tarf Jao Tu Pata Nae Mazhab Kahan Gum Ho Jata Hai Hum Iss Kashmakash Ka Shikar Hain Jahan Sy Khud Hum Ko Apni Khabar Nae..Jb K Humara Deen Tou Sarasar Kamyabi Ka Deen Hai Ayesi Rah K Jis Py Chalnay Sy Falah Iss Duniya Main B Aur Uss 'Jahan"Jahaan Per Yh Duniya Ki Kamyabi Aur Degrees Kuch Ma'nay Nae Rekhti...Tou Phir Yh Nakami Kyun??Asari Taleem Hasil Karain Tou Mazhabi Aaqaid Ko Roodaty Chaly Jaty..Khair Baat Nikali Hai Tou Buhat Dour Tk Jaye Ge.Qaisa Muktasir Jab Ap Mu'ashi Aur Zehni Tour Per Kisi K Mahkoom Ho Jayain Aur Jb Ap Ki Kutab Per Kisi Aur Ka Pehra Ho Tou Halat Kuch Ayesay Hee Hotay Hain

Allah Kare K Humari Soch Mootadil Ho Jaye Hum Mazhab Aur Aasari Taleem Ko Aik Hee Palaray Main Rakhain Aur Mazhab Ko Sath Letay Howe Duniya Ki Rahoun Py Kamyabi Sy Chalain.
 

Madiha ilyas
About the Author: Madiha ilyas Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.