Hamari Soch

(Majida Ayaz Rabbani, karachi)

Asalam O Alaikum..........Me Sirf Apni Nahi Balke Subki Soch Badalna Chati Hon ..Hamare Aas Pass Buht Tarhan Ki Sochen Hen Koi Kya Sochta He Ye Hum Nahi Jante Per Hum Apni Soch Se Apne Ass Pass Ki Soch Badal Sakte Hen ..Per Kese Ye Nahi Janta Koi Ary Hum Tab Jane Ge Na Jab Hum Khud Badlen Ge ..Hamara Nazariya Badle Ga ..Q Hum Har Kisi Ko Apne Nazariye Se Dekhte Hen.Aksar Esa Hota He Jo Hume Dikh Raha Hota He Wesa Hota Nahi Baz Oqat Hamari Nazre Jo Dekh Rahi Hoti Hen Wesa Hota Nahi Hai....Agar Koi Hamre Samne Apni Bat Ya Parechani Nahi Batana Chah Raha He Tu Use Bar Bar Bolne Per Majbor Na Karen Kya Pata Wo Us Waqt Kis Majbori Me Hai Aur Q Nahi Bol Paraha He Apni Majbori.....Magar Hum Nahi Samjhte Hen Hum Uski Is Majbori Ko Koi Aur Hi Name De Dete Hen Ya Tu Ye Khe Dete Hen Ke Zaror Koi Aur Bat Hogi Isliye Chupa Raha He Ya Rahi He.Agar Hum Usko Thora Time Den Us Se Apna Pan Dikhayen Tu Wo Zaror Apni Bat Humse Khaey Ga ..Agar Hamre Ird Gird Koi Do Log Bat Kar Rahe Hen Tu Hum Log Ye Jane Keliye Pagl Ho Rahe Hote Hen Ke Akhir Esi Kya Bat He Jo Ye Dono Kar Rahe Hen Ab Hume Kya Pata Wo Kon Hen Kya Pata Bhen Bhai Hon Jo Apni Baten Discus Kar Rahe Hon Per Hum Use Galat Way Me Le Jake Use Kuch Aur Hi Name Dete Hen ..Aur Sochne Wala Ye Nahi Janta Ke Agr Kal Ko Me Is Tarhan Apni Bhen Ya Couzin Se Bat Kar Raha Hon Ya Kar Rahi Hon Tu Log Mujhe Bhi Galt Samjhe Ge Per Jab Ye Bat Apne Pe Ati He Tu Aqal Ati He Logo Me.Aksar Do Bhen Bhai Kahin Sath Chale Jate Hen Tu Log Unhe Miya Biwi Bana Dete Hen ......Hamre Ird Gird Yehi Soch He Jo Logo Ko Aur Badal Rahi He Agar Aik Insan Bura He Tu Uske Sath Rehene Wale Log Bhi Wese Hi Honge Q Ke Wo Unpe Nazar Andaz Kare Ga Isi Tarhan Aik Soch Ke Kharb Hone Se Uske Sath Paal Ne Wali Har Soch Kharb Hogi Jesa Wo Khud Sochta Hoga Wesa Hi Uske Sath Rehne Wale Bhi Wese Hi Honge........Me Ye Nahi Kheti Ke Har Insan Galat He Uski Soch Galt He .Balke Hamre Mashre Me Rehne Wale Kuch Log Ese Hen Jo Apni Soch Ke Sath Sath Dosron Ki Soch Ko Bhi Kharb Karte Hen.......So Plz Apni Soch Ko Bhi Thek Rakhen Aur Dosron Ki Soch Ko Thek Karne Ki Kushish Karen.............Plz Soch Ko Acha Rakhen Apni Bhi Aur Dosron Ki Bhi .

Majida Ayaz Rabbani
About the Author: Majida Ayaz Rabbani Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.