Jehaad For Zero Thalassemia- Tabdeeli Ki Taraf Pehla Qadam

(nazim hussain , pakpattan)

Jehaad For Zero Thalassemia- Tabdeeli Ki Taraf Pehla Qadam
(Mahwish Batool Kaifi)

“Aap Log Koshish Karo To Apna Ik Nam Bana Sakty Ho Lekin Ghulam Dastgir (G.D) Jesa Koi Ni Ho Sakta. Mein Uski An-Thak Koshishon Ko Slam Peesh Karta Hoon”

Aj K Nafsanafsi K Door Me Agar Is Andaz Sy Tareef Ki Jaye To Insani Aqal Ka Chonkna Baja Hy. University Of Central Punjab (UCP) K Auditorium Me Gonjty Ye Alfaz Jinhoon Ny Mujhy B Dang Kar Dia Tha Jis Shaks K Leye Thy Wo Engineering Ka Ik Honhar Talibilam Or “Jehaad For Zero Thalassemia (JZT)” Ka Bani G.D Hy. Fatmid Foundation K Doctors Ka UCP Mein Ana, Thalassemia Py Lecture Daina, Or Thalassemia K Shikar Mareezon K Leye Khoon Ka Ateya Mangna, Ye Sab Wo Kareyaan Hein Jinhoon Ny G.D Ko JZT Ki Soch Ata Ki. Is Soch Ko Amli Jama Pehnany Me Uska Sath Dr. Tabraiz Aslam Shami, Prof. Rafeeq Malik, Usama Ali Or Mariam Muzafar Ny Dia. Is Choti Si Team Ny Apny Degar Tulba, Dost Ehbab Or Rishtydaroon Ko Seminars, Workshops Or Documentaries’ K Zareye Thalassemia K Mutaliq Aagahi Daini Shuru Ki. Isi Maqsad K Leye Unhun Ny Thalassemia K Shikar Bachoon Ko B Apny Seminars Ka Hisa Bnaya.
 
Thalassemia,Ik Aysi Bemari Hy Jis K Shikar Mareez K Khuleye Khrab Khoon Banaty Hein Ya Bilkul Bhi Nahin Bnatay. Thalassemia Ki Is Stage Ko Thalassemia Minor Kha Jata Hy. Lekin Thalassemia Minor K Shikar Insan Ko Mareez Ni Kha Ja Skta.Indian Actor, Amitabh Bachan B Thalassemia Minor Ka Shikar Hein Lekin Ik Bharpoor Or Khushhal Zindagi Guzar Rhy Hein. Masla Tab Peda Hota Hy Jab Do Thalassemia Minors Apas Me Shadi Kar Lein Q K Do Thalassemia Minors Mil K Ik Thalassemia Major Ko Janam Daity Hein Jo Dosry Normal Bachoon Ki Tarha Ni Hota Or Har Waqt Moot K Khoof Me Jakra Rehta Hy Q K Uska Khoon Hafty Me Ik Bar Na Tabdeel Kia Jaye To Aysi Sorat Me Mareez Ka Zinda Rehna Na Mumkin Hy.

_________ Thalassemia Ratio K Sath Dunia K Mumalik Me Sarefehrest Hy. Pakistan ____________ Ratio K Sath _____________ Number Par Hy. Pakistan Ki Kul Abadi Me Sy Taqreeban 8 Million Log Thalassemia Minor Ka Shikar Hein Jab K Har Sal Peda Hony Waly Thalassemia Major Ki Tadad 4 Sy 5 Hazar Hy Jis K Tehat Pakistan Mein Kul 0.1 Million Thalassemia Majors Mojod Hein. Har Mareez K Ilaj K Leye Lakhoon Rupee Darker Hoty Hein Jisy Bardasht Karna Har Ik K Bas Ki Bat Ni Isi Leye Agr Shadi Sy Pehly Apna Thalassemia Test Karwa Lia Jae To Is Bemari Sy Bachao Mumkin Hy.

Lafaz “Jehaad” JZT K Noumar Razakaroon Ki Koshisoon Ki Akasi Karta Hy. JZT Ka Vision 2016 Tak Pakistan Ko Thalassemia Sy Pak Karna Hy (InshaAllah). Isi Bina Par JZT Management Ny 2013 Ko “Year Of Volunteers” Ka Nam Dia Hy. 5 Bandoon Sy Shuro Hony Wala Ye Safar Ab 50 Universities+Colleges Or 20 Districts Py Mushtamil Pakistan Ka Sab Sy Bara Razakareyat Karwaan Ban Chukka Hy. JZT Ki Sab Sy Bari Kamyabi WHO (World Health Organization) Ka Iska Mustaqil Member Banana Hy. Dr. Irfan Ahmad (Surveillance Officer,WHO ) JZT Ki Advising Committee K Member Hein. Agarchy Government Sy Abi Tak Baqaida Alhaq Ni Ho Saka Lekin Punjab Govt. Ny JZT K Har Event Ki Sarparasti Ki Hy. Isk Ilawa JZT Ab Tak Taqreban 3000 Blood Bags Thalassemia K Mareezon Ko Ateya Kar Chuki Hy Jabk Haftawar Buneyad Par B JZT Ki Taraf Sy Khoon Diya Jata Hy.

Har 3 Manh Baad JZT Ka Ik Buht Bara Event Munaqad Hota Hy Jis Me Razakaroon Ko Pesh Any Waly Masail Ka Bahmi Hal Nikala Jata Hy Or Unki Certificates K Sath Pezarai Ki Jati Hy. Ab Ye Event 21 March 2013 Ko Munaqid Ho Rha Hy Jo Is Lahaz Sy B Eham Hy K Is Me Qul 200 Universities Or 36 Districts Hisa Lein Gy. Isk Ilawa Saal 2013 Main 200 Blood Donating Camps B Lgaye Jayen Gy Jhan Sy Ikatha Hony Wala Khoon Thalassemia K Mareezon Ko Lgaye Jaye Ga. JZT, Thalassemia K Shikar Bachoon Ki B Mukhtalif Fun Plays Or Tohaeef K Zareye Hosla Afzai B Karti Hy.

Tallal Ahmed [President], Zaira Zahid [Vice President], Mehreen Shaukat [General Secretary], Ahmed Bilal [Coordinator Punjab Province], Ali Bukhari [Chief Emeregency Blood Service],Ammaar Dar [Chief Photography], Umar Saleem [Chief Inter-Varsity Affairs], Nimra Kaleem [Chief Performances] , Rabia Bukhari, Rabia Shahid Aur Saad Ahmed Chand Ehm Naam Hain Jo Is Program Ko Dil O Jan Say Chalanay Mai Apna Kirdar Ada Kr Rhay Hain.

JZT K In Noumar Nojawanoon K Jazby Ko Waqai Salam Karny Ko Ji Karta Hy. Or Ik Ehsasy Sharmindagi B Sar Uthata Hy K Ham Ny Apni Nasal Ko Kia Dia. Shayad Isy Hi Khud Ehtasabi Kehty Hein. Lekin Apni Nai Pood K Walwaly Or Himat Ko Daikh K Khushi Or Sakoon B Milta Hy K Ye Nai Nasal Ab Sai Rahoon Py Gamzan Hy Q K Inheen Apni Manzil Ka Adrak Ho Gea Hy. Kisi Dosry Ki Takleef Ko Pori Shidat Sy Mehsos Karna E Insaneyat Hy Or JZT Ki Koshishoon Ko Daikh Kar Mujhy Lagta Hy K Tabdeeli Waqai Any Ko Hy. Bas Zara Hosly, Himat, Sabar Or Apk Sath Ki Zrorat Hy.

Disclaimer: All material on this website is provided for your information only and may not be construed as medical advice or instruction. No action or inaction should be taken based solely on the contents of this information; instead, readers should consult appropriate health professionals on any matter relating to their health and well-being. The data information and opinions expressed here are believed to be accurate, which is gathered from different sources but might have some errors. Hamariweb.com is not responsible for errors or omissions. Doctors and Hospital officials are not necessarily required to respond or go through this page.

nazim hussain
About the Author: nazim hussain Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.