Internet Masherti Buraiyon Ka Sabab

(Saman Abrar, karachi)

Internet Ne Chand Hi Salon Main Bohot Taraki Ki Hy.Log Internet Se Beshumar Fawaid Hasil Kar Rahe Hain.Talba Ka Ek Bara Tabka To Aaj Bhi Internet Se Hi Apne Notes Tayar Karta Hy.Internet Aaj Ek Buniadi Zaroorat Ban Chuka Hy Jis Hum Chalte Phirte Istifada Hasil Karte Hain Lakin Jis Terhan Her Cheez K Faide Ur Nuksaan Donon Hote Hain Isi Terhan Internet Bhi Aaj Bohot Si Masherti Burayon Ka Sabab Ban Chuka Hy.

Internet Bohot Si Burayon Ki Jar Ban Chuka Hy.Aaj Internet Pe Bohot Si Aisi Websites Hain Jo Mohiz Fahashi Phelane Ka Zariya Ban Chuki Hain. In Websites Ur In Pe Mojood Mukhtalif Mawad Ki Waja Se Iklaqi Iqtedar Pasti Ka Shikar Ho Gye Hain Khule Aam Burai Ka Perchar Karna Bhi Burai Ko Phelane Mai Madadgar Sabit Hota Hy Isi Terhan Internet Pe Mojood Mukhtalif Mawaad Mashre Mai Fahashi,Be Rah Ravi,Dhokadahi,Qatal O Gharat Jesi Buraiyan Phel Chuki Hain.

Hakoomat Ko Chayea K Wo Her Un Websites Ko Jin Se Burai Phelne Ka Khadsha Ho Ka Sadbab Karen Yeh Bator Muslman Mumlikat Hone Ka Farz Hy . Ta K Musalmano K Bure Tasur Ko Khatam Karne Ki Shuruaat Kaheen Se To Ho Sake.

saman abrar
About the Author: saman abrarCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.