Ahsaan

(Rizwana Khan, Karachi)

Ek baar Hazrat Imam Hussain(R.A) apne chund saathion ke saath bethe huey theiy.unhon ne apne mulazim se khana lane ke liey kaha.jab mulazim khana laya tou us ka paon phisal gaya aur piyali mein se thora sa shorba Hazrat Imam Hussain(R.A)ke kapron pur gir gaya.aap(R.A) ne mulazim ki taraf ghusse se dekha.mulazim ne Qura'an Pak ki ek surat ka woh hissa parha jis mein ghussa pi jane ka zikr tha.aap(R.A) ne farmaya"main ne ghussa pi lia"mulazim ne aage ka hissa parha jis mein muaaf kardene ka zikr tha.aap(R.A)ne suna tou farmaya"main ne tujhe muaaf kia"mulazim ne agla hissa parha jis mein kaha gaya tha ke ahsaan karne wale ko ALLAH dost rakhta hai.ye sun kar aap(R.A)ne farmaya"ja!main ne tujhe aazad kia"

Rizwana Khan
About the Author: Rizwana Khan Read More Articles by Rizwana Khan: 48 Articles with 77807 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.