Hume Apni Namaz Ko Theek Karna Huga

(Adil, Birmingham)

Assalam-O-Alaikum Saaathiyo, Mein Ek Aam Sa Musalman Ho Jis Ko Deen Ki Itni Knowledge Nahi Hai, Lekin Ek Baat Jo Clear Hai K Aaj Kay Jadeed Daur Mein Jaha Har Achi Cheez Ka Talluq Quran Aur Ahdees Say Sabit Hoi Hai, Wahi Ye Baat Bhi Humare Liye Sharam Ki Baat Hai Kay 2008 Kay Muslim Jareede Ratio Hai Kay Dunya Main 96% Muslamaan Namazein Nahi Parthay. . Na Oz Billah.  Aur 1. 60% Ese Musalman Hai Jo Namaz Time Par Ya Ba Jamat Nahi Parte. Hum Duniya Ki Rang Raliyo Mein Buhat Busy Ho Gaye Hai Jab Kabhi Kisi Say Behas Karni Ho Tu Hum Sab Say Agay Hute Hai Khoob Quran Aur Hadees Ki Dalil Dete Hai Sai Bukhari Aur Deegar Kitaabo K Hawala Dete Hai . . Lekin Hum Log Apne Girebano Mein Nahi Jhankte K Hum Khud Under Say Kiya Hai Aur Kiya Kar Rahe Hai, Hum Khud Apne Farz Say Qasir Hai Aur Ummed Rakhte Hai K Sab Kuch Humare Hisaab Say Theek Ho Jaye. Haqeeqat Mein Hum Akhrat Ko Bhool Chuke Hai Ya Phir Yad Karna Nahi Chahte Ye Baat Bi Humein Maloom Hai K Qayamat K Din Pehla Sawal Humari Namaz Ka Huga, Namaz Say Mutalliq Be Panha Hadees Aur Qurani Ayat Hum Par Nazil Hoi Hai Lekin Na Jane Kyon Is Ka Asar Hum Muslamano Main Nahi Huta. Sab Kaamo Ko Chor Kar Thuri Der K Liye Agar Hum Apni Namazo Ki Fikar Kare Aur Apni Namazein Dorust Karein Tu ALLAH Humein Deen Aur Duniya Mein Bhalai Aur Tarraqi Aur Khushiyan Hi Khushiyan Ata Kare Ga Insha-ALLAH. Aur ALLAH Buhat Be Niyaz Hai Beshak, ALLAH Kehta Hai K Tum Mere Kaamo "Mein Lag Jao Aur Mein Tumhare Kaamo Mein Lag Jao Ga",Phir Kis Bat Ki Fikar.  Aj Kal K Halath Ko Madd-E-Nazar Rakhte Hoye Jis Main Hazaron Pareshaniyan Mushkilaat Tension Etc. . .  (Jo Buhat Si Hum Ne Khud Banai Hoi Hai)Humein Apne Apko Badlana Huga Humein Apni Namazon Ko Dekhna Huga Apni Namazon Ko Theek Karna Huga Baki Sab ALLAH Humare Liye Theek Kare Ga Insha-ALLAH. ALLAH Humein Namazein Waqt Par Parhne Aur Aur Apni Namazon Ko Theek Say Ada Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye Ameen.

Adil Khan

Adil
About the Author: Adil Read More Articles by Adil: 2 Articles with 4093 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.