Waseela Jayez Ya Najayez

(Muhammad Shaid, Karachi )

Bismillahirrahmanirraheem

Quraan-Majid Me Allah-Taala Ne Musalmano Ko Nijat Ke Liye “Qurb(Yani Wasila)” Pakadne Ka Hukum Diya.

Tarjuma:- Aye Logon Jo Emaan Laye Ho! Allah Se Daro Aur Uski Taraf “Qurb(Yani Wasila)” Talaash Karo Aur Uski Raah Me “Jihaad” Karo Umeed Hai Tum Kamyaab Ho Jaoge.
(Maidah,35)

Is Aayat-E-Karima Me Allah-Taala Ne Nijaat Ke Liye “3” Baton Ka Hukum Diya Hai.

(1)Taqwa Ikhtiyaar Karna

(2)Qurb(Yani Wasila) Talaash Karna

(3)Allah Ki Raah Me Jihad Karna.

Taqwa Aur Jihaad Me Koi Ikhtilaaf Nahi Hain Balke “ Qurb(Wasila)” Ke Bare Me Logon Ne Ikhtilaaf Kiya Hain, Kuch Log Kahte Hain Yahan “Qurb(Wasila)” Se Muraad “Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada Aur Murde Buzrugan-E-Deen Ect. Ka “Qurb(Wasila)” Hai, Main Aplog Ko Batana Chahunga Ke Quraan- Majid Ki Aayat-E-Mubarak Me Jis “Qurb(Yani Wasila)” Ko Talaash Karne Ka Hokum Diya Gaya Hai, Isse Muraad  “Gair-Hazir Ya Inteqaal(Death) Kiye Hue “Ambiya, Auliya, Shohada Ect. To Hargiz Nahi Hai.

Ab Hum “Quraan Aur Hadees” Ki Roshni Me Ye Batana Chhate Hain Ke “Qurb(Yani Wasila)” Se Muraad(Matlab) Kiya Hai.

Irshad-E-Bari-Taala Hai:-

Tarjuma:- Aur Jo Log Emaan Laye Aur Neek Kaam Kare Wo Jannati Hain Jo Jannat Me Hamesha Rahenge.
(Surah-Tul-Baqrah, Aayat-No---82)

Tarjuma:- Yaqinan Jo Log Emaan Laye Aur Unhone Kaam Bhi Neek Kiye Aur Apne Palne Wale Ki Taraf Jhokte Rahe Wahi Jannat Me Jane Wale Hain, Jahan Wo Hamesha Hi Rahne Wale Hain.
(Hood, Aayat-No---23 * )

Tarjuma:- Jo Log Emaan Laye Aur Unhone Kaam Bhi Achhe Kiye Yaqinan Inke Liye Jannat-Al-Firdaus Ke Bagaat Ki Mahmaani Hai.
(Surah-Tul-Kahaf,107)

Tarjuma:- Pas Jo Log Emaan Laye Hain Aur Jinhon Ne Neek Aamal Kiye Hain Inhi Ke Liye Bakhshish Hai Aur Izzat Wali Rozi.
(Surah-Tul-Hajj,50)

Tarjuma:- Beshak Jin Logon Ne Emaan Qabul Kiya Aur Kaam Bhi Neek (Yani Sunnat Ke Mutabiq) Kiye Inke Liye Niyamat Wali Jannaten Hai
(Surah-Tul-Luqmaan, Aayat-No 08)

Quraan-Majid Ki Aisi Bahut Sari Aayat Hainjin Me Dakhul-Jannat Ke Liye Sirf Do Hi Chiz Ka Zikar Hame Milta Hai.

(1) Emaan

(2) Aamal-Salah

Jis Se Maloom Hota Hai Ke Yahi Wo “Qurb(Yani Wasila)” Hai Jisse Allah-Taala Ne Talaash Karne Ka Hukum Diya, Aaye Ab Hum Hadees Ki Roshnime Dekhte Hain “Qurb(Yani Wasila)” Ke Bare Me,

(1) Hazrat-Abi-Ayub-Ansari(R.T.A) Se Riwayat Hai Ke “Rasool-Allah{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Safar Mejarahe The, Itne Me Ek Dihati-Aadmi Aayaaur Aage Aakar “Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ki Ount(Camel) Ki Rassi(Rope) Ya Nakil Pakad Kar Kaha: Ya “Rasool-Allah{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Mujhe Wo Baat Bataye Jo Mujhe Jannat Ke Qarib Aur Jahannam Se Door Kar De,” “Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ne Irshad Farmaya: Allahki Ibadat Kar Aur Kisi Ko Iska Shareek Na Bana, Namaaz Qayamkar, Zakaat De Aur Rishtadari Ko Mila( Yani Aazizon, Rishtadaron Ke Sath Husan-E-Suluq Kar Agar Wo Burai Kare Ya Mulaqaat Turk Kare To Tu Neeki Kar Aur Inse Milta Rah.
(Sahih-Muslim, Hadees-No-103/Sahih-Bukhari,Hadees No1396, 5983/Nisai, Hadees-No---367 )

(2) Hazrat-Abu-Hurera(R.T.A) Se Riwayat Hai Ke Ek Dihati-Aadmi “Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ke Pass Aakar Kahne Laga Ya “Rasool-Allah{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}”Mujhko Bataye Koi Aisa Kaam Jisse Karne Se Main Jannat Me Chala Jao?“Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ne Farmaya:- Wo Kaam Yehai Ibadat Kar Tu Allah Ki Aur Uske Sath Kisi Ko Shareek Na Kare Aur Qaayam Kar Tu Namaaz Ko Aur De Zakaat Jo Farz Hai Aur Ramzaan Ke Roza Rakhe-“ Wo Shaks Bola Qasam Uski Jiske Hanth Me Meri Jaan Hai, Main Is Se Ziyada Karonga Na Is Se Kam, Tab Wo Pith Pher Kar Chala Gaya-“Aap{Sall’allaahuta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ne Farmaya:- Jis Se Pasand Ho Ke Jannati Ko Dekhe To Isko Dekhle.
( *Sahih-Bukhari, Hadees-No---1397*/*Sahih-Muslim, Hadees-No---107)

Muhammad Shaid
About the Author: Muhammad Shaid Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.