Hum Larkiyan...........

(suman, GUDDU)

Hum Larkiaya Apne Ghar Ka Angan Hoti Hain, Duniya Ki Talakh Hawaou Aur Toofano Se Bekhabar Hum Apni Ankho Mein Buhat Se Khoob Soorat Khawab Saja Leti Hain Bina Ye Soche Ke Khawbo Ke Tootne Ki Kirchiyan Jab Jub Humari Ankho Ko Zakham Den Gi Un Par Marham Rakhne Wala Bhi Koi Na Hoga.....

Hum Larkiyan Apni Muhabbat Ko Dil Mein Chupae Bageer Kisi Ko Kuch Kahe Apne Ghar Se Rukhsat Ho Jati Hain Aur Apni Jazbat Ko Kabhi Aabaad Nahi Hone Dete Aur Apni Zindagi Bus Us 1 Shaks Ke Liye Waar Dete Hain Aur Apni Muhabbat Ke Liye Hum Apne Dil Ke Andar 1 Qabrustan Bana Lete Hain Aur Us Mein Hum Apni Muhabbat Aur Aah O Baka Ko Dafan Kar Lete Hain Aur Kisi Ko Bhinak Bhi Nahi Parne Dete...

Ye Sub Hum Is Liye Karte Hain Take Humare Waldeen Ke Izzat Ruswa Na Ho Aur Humare Bhaiou Ki Laaj Rahe Tab Zindagi Se Mutman Na Hote Hue Bhi Mutman Rehne Ki Koshish Karte Hain Take Humare Waldeen Ko Ye Khayyal Na Rahe Ke Unhon Ne Apni Beti Ke Sath Kuch Galt Keya Hai....

Wese Bhi Hum Larkiyan Qurban Hone Ke Liye Hi Pedda Hue Hain Kabhi Waldeen Par Kabhi Bhaiou Par Kabhi Us Shaks Ke Liye Jis Se Humari Zindagi Wabasta Hoti Hai...

Hum Larkiyan Apne Ghar Aur Ghar Walon Ke Liye Duaae Mangti Hain Lekin Kabhi Bhi Apne Zaat Ke Liye Kuch Bhi Nahi Mangte Hum Ye Sochti Hain Ke Humari Zaat Ki Khushiyan Aur Takmeel Se Humare Ghar Walon Ki Dam Se Hain...

Humare Anso, Aehsasat, Jazbat Aur Tamnae Kabhi Zahir Nahi Hoti Q Ke Hum Apne App Par Aur Apne Ahsasat And Jazbaat Par Essi Sakht Khol Chahra Letei Hain Ke Humara Sub Kuch Us Khol Mein Band Ho Kar Reh Jata Hai And Bahar Aane Ke Liye Tarpta Rehta Hai Magar Hum Larkiya Essa Kabhi Nahi Hone Deti....

Hum Larkiyan Buhat Kuch Kehna Chahti Hain But Kuch Keh Nahi Paate Humare Jazbaat Aur Tamnae Humari Majbooriou Tale Dab Kar Dum Tor Deti Hain Aur Hum Larkiya Humesha Se Apni Khushio Se Ziyada Apni Waldeen Ki Izzat Ka Bharm Rakhti Hain...

Bus Essi Hi Hoti Hain Hum Larkiya And Essi Hi Rahe Gi Ta Qaymat INSHALLAH................
"'" Humari Rooh Mein Jo Utar Sake Wo Muhabbaten Humein Chahye
Jo Sarab Hon Na Azzab Hon Wo Rafakaten Humein Chahye
Humein Aor Kuch Nahi Chahye Ye Duaae Hain Humari Sayeban
Kari Dhoop Mein Khi Mil Sake To Yhi Chaten Humein Chahye""''
Sari Dukhi Larkiou Ke Naam................
Thankx...................
Suman.................

.
About the Author: . Read More Articles by .: 11 Articles with 100566 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.