Chand K Tukray Ki Talash

(Sana Hamid Ali, Karachi)

ALLAH Nay Kainat Ko Bay Had Khobsurat Banaya Hay Zameen Ka Zrra Zrra Khuda-A-Wahid Ki Gawahi Deta Hay.  Zamen O Asman Charind Parind Tamam Chezain Apny Khaliq Ki Gawahi Deti Hain ALLAH Ny Hr Sha Ko Khobsurat Banaya Hay.  Waen Bani O Insan Ko Ashraful Makhlokat Ka Darja Ata Farmaya Hay.  Har Insan Ko Dosray Insan Say Juda Banaya Hay.  Har Sha Ka Jora Takhleq Farmaya Hay Jahan Rub Tala Nay Kainat Ki Har Sha Ko Mukhtalif Rangon Say Banaya Hay Wahen Makhloq Insani Ko Do Rang Yani Kala Or Safed Rang Myn Paida Kia Hy .  Rub Tala Ko Dono Rang Bay Had Pasand Hain.  Usay Apny Bandon Say Satar Hazar Maaon Say Ziada Piyar Hay Is K Liyeh Us Ka Har Banda Mehbob Hay . 

Magar Is Kay Bawajood Agr Ham Apny Mashary Par Nazar Dalain Tu Hamry Han Gora Rang Hi Khobsorti Ki Alamat Samjha Jata Hy.  Specially Tanz K Nishana Kaly Rang Ki Hamil Khawaten Or Larkian Banae Jati Aksar Larkion Ki Tu Shadi B Isi Wajaha Say Nai Ho Pati Hain.  Qk Larky Ki Walida Ko Apny Bety K Liye Khobsorat Larki Ki Talash Hoti Hay Chahy Khud K Beta Kala Hi Q Na Ho Magar Dulhan Wo Chand K Tukra Hi Chahti Hain Bari Aanai Say Wo Maain Masom Larkio K Dil Ye Keh Kr Tor Deti Hain 'Bhaee Larki Ka Rang Kala Hy' Goya Serat Ki To Koe Importance Hi Nai.  Halan K Asal Khobsorti Tu Dekhny Wlay Ki Nazar Mai Hoti Hy Par Najanuy Q Wo Logon Ko Nazr Nai Aati Is K Rizult Myn Wo Larki Pscho Problem Ka Shikar Ho Jati Hy.  Shaksiat K Khd Atamadi Ehsas Kamtari Myn Badlny Lagti Hy Ki Wo Beton K Maain Apny Seno Myn Dil Nai Rakhti Hain.   Akhir Kaisy Wo Rub Tala Ki Banae Hoe Hasti Ko Thukra Deti Hain Uski Toheen Kar Deti Hain.  Malik A Haqiqi K To Apna Hr Banda Ya Bandi Mehbob Hy.
 
Phir Hamari Society Ka Behavior Itna Khrab Q Hay. Agr Hm Islami Talimat Par Nazr Dalin To Nbi Pak S.A.W Nay Farmya Tha K Tm Myn Say Kisi Kalay Ko Goray Par Foqiat Hasil Nai Tu Hm Kis Kisam K Insan Or Muslman Hain K Yeh Jurm Karty Hain Jb K Hmara Mazhab Tu Insaniat K Dars Deta Hy. Tarekh Say Pata Chalta Hy K Rasool Pak S.A.W K Gulam Hazrat Bilal R.z Jo K Siyah Fam Habshi Thy Say ALLAH Ko Bay Had Piyar Tha Wo Jab Tak Azan Na Dety Sehar Na Hoti Khud Hmary Nabi Ki Zat Hmary Liye Behtareen Namona Hy Hayat Tayaba Myn Kahen Koe Aisa Waqia Moojod Nai Jo Ye Bata Ho K Nabi Krim Nay Kalay Rang K Insan Ko Na Pasand Kia Jb Khaliq Or Mehbob Nay Har Talkhes Na K Tu Phir Mshra Kon Hota Hy Apny Rub K Bane Sha K Toheen Krnay Walay. 

Jb Hm Kalay Rang Ka Kapra ,Furniture Gharz Use Ki Hr Chez Kalay Rang Ki Pasand Krty Hain To Phir Ek Jetay Jagty Insan Ki Tohen Kyu Krty Hain Q Usy Tanz Ka Nishana Banty Hain ,Kb Hamara Mashra Is Baat Ko Samjhy Ga K Zahir Ki Khobsorti Sa Ziada Batin Ki Khobsorti Ahmiat Rakhti Hay.
 
Mery Mukhatib Wo Tamam Log Hain Jo Chand Ka Tukra Talash Krny Myn Kitni Masom Larkion Ko Hurt Krty Hain.
 
Plz In Larkion K Karb Ko Samjhain Wo B Kisi K Piyar Ki Mustahiq Hain In Ka Dil Buhat Khobsi\Orat Hy Wo Hazar On Haseeno Sy Haseen Hain

Is Essay K Ikhttam Par Myn Umeed Krti Hn K Shahyd Koe Fard Isy Parh K Raha Rast Pe Aajaye Or Batin Ki Khobsorti Ko Ahmiat Deny Lagay.

Sana Hamid Ali
About the Author: Sana Hamid Ali Read More Articles by Sana Hamid Ali: 2 Articles with 3374 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.