Mobile Zada

(Bakhtiar Nasir, Lahore)

Graham Bell Nay Apni Telephone Ki Ijad Kay Baad Shaid Socha Bhi Na Hoga Kah Us Ki Ijad Ki Taraqi Yafta Shakal Ko Log Uthay Uthay Phirain Gay. Telephone Billa Shubah Aik Aham Daryaft Hai' Rabeta Ka Bahtreen Zarya. Khushio Ghami Kay Izhar Aur Ittella Ki Aik Shakal.Is Ki Jadeed Surat Mobile Hay' Jis Say Fi Zamana Har Khaso Aam Mustafeed Ho Raha Hai.Market Main Muqabala Ki Surate Haal Paida Hoti Hi Is Ko Awamunnaas Ki Nichli Sata Tak Poncha Diya Gaya.

Laikin Ham Dekhtay Hain Kay Bohat Say Log Is Kay Ziyadah Hi Girvida Ho Chukay Hain’ Upri Sata Yani Arab Pati Ya Karor Pati Logon Ki To Kya Baat Karni; Who To Mehngay Say Mehnga Mobile Rakh Saktay Hain.Baat Un Logon Ki Hay Jo Apni Aamadni Ki Munasbat Say Ziyadah Maliyat Ka Mobile Rakhtay Hain.Ab Who Kya Zahir Karna Chahtey Hain’ Aap Andaza Laga Saktay Hain.

Mobile Ki Bunyadi Zarurat Zahir Hay Rabeta Ki Hay.Laikin Is Say Barh Kar Is Ki Hasiyat Aik Khilonay Ki Si Ho Gai Hay.Ji Haan Chotay Baron Ka Khilona.Gaimon Say Lutf Andoz Hona Waghaira Waghaira.Hathon Main Rakhna Aam Si Baat Hay.Ab Masajid Hi Ki Misaal Lay Lain.Go Wahan Likah Hota Hay’ Kay Mobile Band Kar Kay Masjid Main Dakhil Hoon, Laikin Phir Bhi Bell Bajnay Ki Surat Main Koi Na Koi “Waqoa”Zahir Ho Hi Jata Hay.Agar Koi Safar Main Hay Ya Ghar Say Door Us Ki To Baat Aur Hay, Ghar Say Bhi Agar Ayain Gay To “Khilona” Hamrah Ho Ga Aur Umuman Is Kay Bajnay Kay Roshan Imkanaat Bhi Hotay Hain.Bhai Koi Kahay Mian Kuch Dair Hi Ki To Baat Hai, Isay Ghar Chor Aayain, Agar Ghar Waloon Par Eatebar Naheen(Go Raqim Kay Khial Main Ghar Waloon Say Barh Kar Koi Hamdard Naheen Hota) To Ji Kara Kay Isay Kaheen Band Kar Kay Taala Laga Dain, Kay Masjid Ka Taqaddus To Bahar Haal Sab Ki Zimadari Hay.

Is Kay Difa Main Karobari Daleel Ka Diya Jana Is Liyay Bhi Ziyadah Mutabir Naheen Teherta Kah Is Ki Ijaad Say Phalay Bhi Karobar Hoa Kartay Thay Aur Puray Zor Shor Say.

Aik Manfi Pahlu Na Munasib Dosti Ka Bhi Hay , Jo Bahar Haal Aik Na pasandiddah Amal Hay.

Goya Fi Zamanah Namoodo Numaish Kay Zimn Main Daulat, Mansab Aur Husn Waghaira Kay Saath Saath Ab Mobile Ka Unsar Bhi Shamil Ho Gaya Hay.Aur Is Kay Izhaar Kay Bhoonday Tareeqay Bhi Dekhnay Main Aatay Hain.Is Liya Yeh Baja Taur Par Kaha Ja Sakta Hay Kay Huzur Dhiraj Say, Is Shay Ko Eatidaal Ki Sata Tak Rakhain,Is Ko Apnay Zehan Aur Aasab Par Sawar Nah Karain.

Bakhtiar Nasir
About the Author: Bakhtiar Nasir Read More Articles by Bakhtiar Nasir: 75 Articles with 101931 views A man likes for what he thinks you are; a woman for what you think she is. { Ivan Panin }.. View More