Namaz Ki Panbandi

(Saba Tariq, Karachi)

Subha Se Sham Ho Jati Ha, Dunya Ka Har Kam Hamay Yad Hota Ha. Us Ko Pora Karny K Liye Hum Khana,Pina,Sona,Tak Bhol Jaty Ha.Lekin. Afsos Ki Bat Ha Sharm Ki Bat Ha. Intehai Nuqsan Ki Bat Ha. K Hum Musjido Ki Taraf Se Jo Awazay A Rahi Ha. Un Par Tawajha Nahi Detay. Azan Ki Awaz Sun Kar Bhi Esay Ho Jaty Ha K. Jesay Kuch Howa Hi Nahi.

Lekin Is K Bar-Acks Ager Koei Dunyawi Meeting Ma Late Ho Jaein. Boss K Awaz Deny Par Na Boss K Pass Pohanch Paein. Tu Hum Kis Qadar Pareshan Ho Jaty Ha. Hamay Fikar Hoti Ha K Koei Bhi Kam Esa Na Karin Jis Se Hamay Koei Nuqsan Ho. Ya Koei Pareshani Uthana Pary. Lekin Afsos Ha Esay Musalman Par Jo K Apny ALLAH Pak Ki Fikar Nahi Karta. Us K Agay Sajda Rez Hony Ka Us K Pass Time Nahi.

5 Waqat Ki Namaz Tu Bohat Dor Ki Bat Ha. Hamary Pass Tu 1 Waqat Ki Namaz K Liye Bhi Time Nahi Ha. Kya Hum Waqaei Musalman Ha? Please Meri Ap Sub Se Request Ha K Hum Sub Zara Suchy K Kya Waqai Hum Musalman Ha? Kiyun K Musalman Or Kafir Ma Jo Farq Ha Wo Sirf Namaz Se Hi Zahir Hota Ha. Aj Hum Ye Farq Saf Tur Par Dekh Sacty Ha.

Apni Barbadi Ka Saman Hum Khud Hi Peda Kar Rahy Ha.Kash. K Mot Any Se Phelay Hi Hum Sanbhal Jay. Or Apny ALLAH Pak Or Us K Habib(S.A.W)Ki Farmanbardari Or Ataat Ma Zindagi Basar Karin. Or Namaz Ka Waqat Hoty Hi Mard Masjido Ka Rukh Karain. Or Ortain Apny Ghar Hi Ma Waqat Par Namaz Karin. ALLAH Pak Hum Sub Ko Amal Ki Tufiq De. Or Gunaho Se Bachny Ma Hamari Madad Kary.(Ameen)

Saba Tariq
About the Author: Saba Tariq Read More Articles by Saba Tariq: 17 Articles with 54758 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.