Namaz ki Fazilat

(Muhammad Uzair Khaliq, Sargodha)

Assalamu Alekum,Is Article Me Meri Koshish Hai K Apko Namaz Ki Fazilat K Baray Me Batao,Namaz Ki Fazilat Jananay K Liye Pehle Ayat E Qurani Ka Mutaleya Karte Hain.

"Aur Namaz Qaim Karen Meri Yaad K Liye" (Surah Taha 14)
"Beshak Namaz Behayai Aur Buri Baton Se Rokti Hai" (Surah Al-Anqaboot 45)
"Yaqeenan Wo Momineen Falah Paa Gay Jo Apni Namazo Me Khushoo Ikhtiyar Karte Hain" (Al-Momnoon 1,2)
"Aur Wo Jo Apni Namazo Ki Hifazat Karte Hain Yahi Log Janat Me Izat Paye Gay" (Al-Maraaj 34,35)
"Aur Allah Ne Farmaya K Beshak Main Tumhare Sath Hon Agar Tum Namaz Qaim Karo Gay" (Al-Maida 12)
"Aur Sabar Aur Namaz Se Madad Hasil Karen" (Al-Baqra 45)
"Aur Tum Taqwa Ikhtiyar Karo Aur Namaz Qaim Rakho Aur Tum Shirk Karnay Walo Mein Se Na Ho" (Al-Roum 31)

Yahan Aik Baat Note Karne Wali Hai,Namaz Susti Aur Kahli Aur Musrufiyat Rokti Hai Aur Teesara Shetaan.Agar Koi Shakhs Allah Jala Shana K Hukam Ko Chor Kar Susti Aur Kahli Aur Shetaan Ka Hukam Manta Hai To Wo Bhi Shirk Ho Jay Ga.

"Namazo Ki Hifazat Karen Aur Khusosan Darmiyan Ki Namaz Poori Pabandi K Sath Adda Karte Raho Aur Allah K Agay Adab Se Kharay Raho" (Al-Baqra 238)
"Aur Namaz Qaim Karo Aur Zakat Diya Karo Aur Allah(Allah Jala Shana K Agay) Ruku Karo Ruku Karne Walo K Sath" (Al-Baqra 43)
"Pas In Namaziyo K Liye Kharabi Hai Jo Namazo Say Ghafil Hain" (Al-Maoon 4,5)
Ab Namaz Ki Fazilat Ahadees Ki Roshani Mein Dekhte Hain:
"Namaz Mein Shifa Hai" (Musnad Ahmed,Tarteeb Sharif)
"Admi Ki Namaz Is K Dil Ka Noor Hai" (Tarteeb Sharif)
"Namaz Meri Ankhon Ki Thandh Hai" (Tibrani,Tarteeb Sharif)
"Namaz Lazam Hai Kyu K Ye Afzal Jihad Hai Aur Gunaho Ko Tark Kar Dena Afzal Hijrat Hai" (Tarteeb Sharif)
"Namaz Her Mutaqi K Liye Allah Jala Shana Se Qurb Ka Zariya Hai" (Tarteeb Sharif)
"Namaz Momin Ki Meraaj Hai"
Namaz Se Gunah Aesey Girtay Hain Jaisey Khizan Me Khushk Patay Darakht Se Girtey Hain" (Musnad Ahmed)
"App Salallah O Alehe Waalehi Wasalam Ko Jab Koi Sakht Amar Paish Ata Tha To App Salallah O Alehe Waalehi Wasalam Namaz Ki Taraf Furan Mutawaja Hote The" (Musnad Ahmed,Abu Dawood)
"Admi Aur Shirk K Darmiyan Namaz He Haa'il Hai" (Fazal E Amal)
"Allah Jala Shana Ne Koi Cheez Iman Aur Namaz Se Afzal Farz Nahi Ki"
"Namaz Adda Karne Se Shetaan Ka Moun Siya Ho Jata Hai"
"Janat Ki Kunjiyaan Namaz Mein Hain"
"Hamaray Aur Kafiroon K Darmiyaan Jo Waqeyi Farak Hai Wo Namaz Parhany Aur Na Parhany Ka Hai,Pas Jisne Namaz Chor Di Isne Kufar Ka Kam Kiya"

Ye Thi Kuch Ahadees,Agar Main Sirf Akhari Biyan Ki Hoi Hadees Ki Baat Karo To Ap Dekh Len K Agar Hum Namaz Nahi Parhte To Kufar Ka Kaam Karte Hain.Namaz Farz Ki Gai Hai Aur Iska Parhna Lazim Hai,Allah Jala Shana Humay Namaz Parhne Ki Tofiq Atta Farmayen,Ameen.

Muhammad Uzair Khaliq
About the Author: Muhammad Uzair Khaliq Read More Articles by Muhammad Uzair Khaliq: 4 Articles with 42048 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.