Khudara Sambhal Jao

(Afshan Rahman, Chicago usa)

Bhut Hi Afsos Hota Hay Jub Hum Politics Ki Baat Kerte Hein.Akher Kia Problem Hay Koee Bhi Baat Ko Samajh Nahi Parae Hein Jub Keh It Is Very Simple Keh Aaj Ke Dor Mein Sab Ko Apni Feeker Hay Dosre Ki Janib Dekhna Tak Pasand Nahi Hay Ko Dosre Keh Lia Kuch Kernay Ka Kia Sawal Hoga.Hamare Pakistani Brothers Ko Kia Hogaya Hay.Ek To Understanding Hi Nahi Hay Sab Apni Stories Chor Ker Doosre Per Teer Bersate Hein.Apni Awaz Uthate Waqt Ye Bhool Jate Hein Keh Aap Akele Kuch Bhi Nahi Kersekte Pehle Doosre Ki Baat Ko Manna Hoga Lekin Jub Bhi Dekho Stupid Fighting Hotee Rehtee Hay Aakher Halaat Kub Derest Honge.Khuda Os Qom Ki Halalet Derst Nahi Kerta Jin Ko Khud Feeker Na Ho.Jub Ke Ger Mulkon Ke Muslims Her Terha Help Kernee Chahte Hein Or Aaj Edare Bhut Help Kerae Hein .Helping Hands Ka Edara Bhi Jin Mein Muslims Berh Ker Hissa Le Rae Hein .Lekin Politicians Na Jane Kioon Lerne Ko Tyyar Rete Hein.Sab Apni Apni Bolee Bolte Rete Hein Chahe Koee Maane Ya Na Maane.Its Too Much Tention To Listen Those Kind Of Talking.Khudara Sambhel Jaaen Or Parties Milker Kaam Karen.Unity Is Very Important.Pakistan Ki Feeker Karen Na Ke Apni Apni Party Ki Feeker.Apni Galti Per Nazer Kerne Ki Bajae Buss Doosre Ki Galti Per Nazer Hotee Hay Its Too Much.Education Wale Log Hi Kuch Kersekte Hein So Jo Degree Yaafta Hon On Ko Party Banana Chae.Khas Ker Politics Mein Degree Zarooree Hay.

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 214018 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.