Meray Dard Ko Jo Zuban Millay

(Humaira, From A Small Village)

Dusri Baar Aik Hi Topic Par Mera Article Dekh Kar Shaid Ap Logon Ko Ajeeb Lagay Par Mujhay Lagta Hai Ke Is Topic Par Jitna Bhi Likha Jai Kam Hai Again I M Talking About The Rights Of Village Women.

Rights Har Aurat Ke Barabar Hote Hain Magar, Baat Shaoor Ki Hoti Hai Aik Aurat Jo Educated Hai Wo Apne Rights Ke Baray Me Aik Unparh Aurat Se Ziada Janti Hai. Probloms Uski Life Me Bhi Hain Muasharti Nainsaafi Ka Shikaar Wo Bhi Horahi Hai Magar Wo Hausla Nai Harti,Wo Larti Hai Apnay Hoqooq Keliay Kyu Ke Woh Janti Hai Ke Insaaf Uska Haq Hai.Magar, Gaun Ki Aurat Jo Ziada Tar Unparh Hai Wo Janti Hi Nahi Ke Uske Rights Kia Hain,Education Di Nai Jati, 15 Yr Ki Age Me Shadi Hoagai.Kisi Ko Baap Ne Apni Dusri Shadi Ke Liay Kisi 50 Yrs Old Shaks Se Biha Diya To Kisi Ko Bhaion Ke Wattay Sattay Me Kisi Nashai Ke Hathon Zaleel Honay Ke Liay Chor Diya.

Aur Phir Uski Sari Zindagi Husband Ke Hathon Tashadad Ka Nishana Bantay Huay Guzar Gai.Kyu? Akhir Aaisa Kyu? Kyu Koi In Masoomon Ko Nai Bachata Kia Inka Zindagi Par,Zindagi Ki Khushion Par Koi Haq Nahi?Haqooq E Niswan Bill Sirf Call Girls Ke Hathon Sharif Logon Ko Black Meel Karne Ke Liay Hai?

Aakhir Koi Villages Ki Begunah Aur Masoom Khawateen Aur Larkiyon Ko Insaaf Dilaanay Ke Liay Usse Use Nai Karta, Kia Inke Sath Hone Wali Na Insaafi Kisi Ko Nazar Nahi Aati.

Meri Goverment Se Aur Har Power Walay Insaan Se Jinki Nazar Se Mera Article Guzray Request Hai Ke Plz Aurton Ke Haqooq Ke Liay Banay Janay Walay Qannons Par Ammal Karawanay Ke Liay Koi Idara Banaya Jay Jis Ki Social Workers Womens Villages Mein Bhejhi Jain Jo Yahan Ki Womens Ko Unke Rights Ke Baray Me Bataen Aur Un Ke Saath Honay Wali Na Insaafion Ka Azaala Karne Me Aur Unko Unke Rights Dilanay Me Unki Help Karen. Shaid Issi Tarhan In Mazlumon Ko Insaaf Mil Jay.

Humaira
About the Author: Humaira Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.