CHORON NE DOR LAGAYI

(Zuhaib Shah, chichawatni)

Assalam O Alikum
Takreeban 15 Saal Pehle Ki Baat Hai Jab Har Taraf Raat Ko 1 Dum Sanata Ho Jaya Karta Tha Or Log Apne Gharon Me Mahsoor Ho Kar Reh Jate Thy.

Kehte Hain Ke 1 Aise Hi Raat Thi Gaon Me Bahir Koi Bhi Ni Tha Sab Apne Gharon Me So Rhy Thy Takreeban Aadhi Raat Ko Achanak Tezz Aandhi Chal Pari Or Uske Shoor Se Sab Uth Gaye.Sab RAB Se Maafi Mangne Lage Or ASTAGHFAAR Karne Lage Ke Achnak Aandhi Ruk Gayi Gayi Or 1 Dum Har Taraf Dehshat Zada Sanata Chhaa Gaya Or Tab Hi Achanak Gaon Me Ajeeb Hi Hasne Ki Awazain Aane Lagi Or Wo Awazain Lagataar Tezz Hoti Jaa Rhi Thin.Gaon Me Sab Logon Ka Dar Ke Mare Bura Hall Ho Raha Tha.Tabhi Hasne Ki Awaz Band Hui Or 1 Bolne Ki Awaz I Jo Yoon Thi Ke Men Jinon Ka Raja Hamoon Jin Hoon Or Ham Tumhare Gaon Me Basera Karne Aaye Hen Or Ab Ham Hamesha Yahan Rahen Ge.Tum Sab Ke Liye Behtar Hai Ke Subha Tak Saare Gaon Chor Kar Chale Jao Nahi To Ham Kisi Ko Bhi Nahi Choren Ge, Tum Sab Logon Ke Paas Aj Raat Tak Ka Wqat Hai Bs.

Itna Sunna Tha Ke Sab Ke Hosh Ur Or Khuda Se Maafi Maangne Lage Or Kisi Ko Kch Samjh Naa I Ke Ab Kya Karen.

Gaon Me 1 Zaeef Buzurg Thy Jab Unhon Ne Suna To Soch Me Par Gaye Ke Ab Kya Kia Jaye. Tabhi Unhon Ne 1 Wazifa Parha Or Pani Par Dum Kar Ke Apne Ghar Se Nikle Or Us Taraf Chal Pare Jahan Awaz Aa Rahi Thi. Aabhi Pohanche Nahi Thy 1 Taraf Se Unhen Sargoshi Suni Jo Kch Yoon Thi Ke Ab To Is Gaon Se Ham Malamaal Hojayenge.Pehle To Buzurg Samjh Nahi Paye Lekin Phr Samjh I Ke Koi Jin Nahi Ye To Choor Hen To Jin Hone Ka Darama Kar Rhy Hen.Tabhi Wo Buzurg Tezz Kadmon Se Qareeb 1 Ghar Me Gaye Or Wahan Sara Majra Bataya Ke Jin Nahi Choor Hen.Tab Unhon Ne 1 Mansooba Banaya Or Chori Chori Sara Gaon Ikatha Ho Ke Hath Me Mashaalein Le Kar Un Choron Ki Taraf Chal Pare Andhere Me Chor Itne Logon Ko Aata Dekh Ghabra Kar Bole Ke Tum Log Kon Ho To Gaon Walon Ne Kaha Jinnat Hen Or Qareeb Jangal Me Rehte Hen.Or Ham Roz Raat Ko Yahan Aate Hen. Lekin Aj Tum Log Hamare Raste Me Aa Gaye Ho Ab Ham Tumhe Maar Dalenge Or Saare Zor Zor Se Hasne Lage.Bas Phr Chor Aise Bhaage Ke Phr Kabhi Us Gaon Me Chor Nahi Aye.Q K Wahan Mashhoor Hogaya Tha Ke Yahan Raat Ko Jin Aate Hen.
 

Zuhaib Shah
About the Author: Zuhaib Shah Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.