TIME

(SUNDUS FATIMA, karachi)

Wakt Se Bara Koi Ustaad Nahe Or Zindagi Se Haseen Koi Kitaab Nhe. Such Kehty Hein Yeh Pyar Bhi Kitna Pyara Huta Hy.Jub Pyar Hojaiye Tu Sub Kuch Pyara Lugny Lugta Hy. Yeh Kahani Meri Hy. Mein Kaun Hoon? GUMNAAM Apna Naam Talash Kr Rha Hoon. Buchpan Mein Maa Baap Ne Mera Naam Rukha Tha Or Aj Dost Bhi Isi Naam Se Pukartey Hein Dunya Waley Pyar Karny Waloon Ko Hazaroon Naamoo S Pukartey Hein. Mujnoo ,Ranjha ,Romeo. Meny Bhi Pyar Kia Pr Ksi Laila, Hiir Ya Juleat Se Nhe. Yeh Kahani Sirf Meri Hi Nhe Blky Un Hazaroon Larkoo Ki Hy Jinhony Pyar Kia Hy Meri Tarha Apni Zarortoo(Needs) Se,Apni Khawaishoo Se, Apny Dreamz Se.Apny Ghar Walon Se, Apny Mulk Se. Kia Hum Sub Ka Pyar Bhi Lahasil Hy. Usy Zindagi Mein Laila Tu Nhe Mili Or Mjhy Jeeny Ki Azadi.

Mujh Par Ksi Ne Pathr Tu Nahe Barsaye Lekin Mjhy Bardashat Karny Partey Hein Har Roz, Tany Tanz, Shikwy Shikaytein, Bhook, Lalach Bahri Neghaein .Mery Certificates Ub Mery Lie Raadi Se Ziada Kuch Nhe Hein. Q K Mjhy Mein Itni Kabliat Nahe K Mein Un Ki Aankhon Ki Chamak Ko Khatum Kr Sakoon Jo Bary Bary Daftar Lumbi Lumbi Garion Mein Beth Kr Hamari Azmaat –O-Hunar Ka Mazak Uratey Hein. Kis S Mango Tabeer Apny Khaboo Ki…

Meri Zindagi Mein Mery Pyar Ko Makam Milyga Ya Har Subh Mein Yehi Kahunga.

Subh Hoti Hy Sham Hoti Hy
Umer Yuhi Tamam Hoti Hy

SUNDUS FATIMA
About the Author: SUNDUS FATIMA Read More Articles by SUNDUS FATIMA: 15 Articles with 20596 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.