Sahafi Kam Siasatdan Ziada

(Gullzaib Akram, Lahore)

Aj Ka Dor Azad Media Ka Dor Hai Or Isi Azadi Ka Baz Sahafi Najaiz Faida Utha Rahain Hain Or Wo Sahafi Kam Siasatdan Ziada Nazar Arahe Hote Hain.Kabhi Aik Party Ko Favour Kar Rahe Hote Hain Kabhi Usi Ko Ruswa. Sahafti Bradri Main Nazir Naji Aik Barra Nam Hai Magar Ajkal Un Ka Har Kalam Pml(N) K Khilaf Hota Hai Or Baz Oqat To Wo Mubalga Araee Ki Intha Kar Dete Hain Kabhi Mqm Ko Sport Karna Shoroo Kar Dete Hain To Kabhi Pppp Ko.Isi Tarha Mubasshar Luqman Unhe Punjab Hakoomat K Ilwa Doosray Soobon Ki Hakoomat He Nazar Nai Ati K Wahan Kia Ho Raha Hai Or Hath Hila Hila Kr Adlia Se Keh Rahe Hote Hain K Punjab Hakoomat K Khilaf Action Lia Jaye Sahafi Ka Kam Kisi B Bat Ko Manzar Am Pe Lana Hota Hai Uska Hal Nikalna Siasatdano Ka Kam Hai Sahafion Ka Nai.

Sahafi Gair Janib Dar Hota Hai Magar Ajkal K Sahafi Siasi Partion Ko Spurt Karte Nazar Ate Hain Or Har Choti Si Bat Ko Itna Bra Charha Kar Pesh Krte Hain K Khuda Ki Panah.Iski Misal Mqm Ka Lahore Main Jalsa B Hai Media Ne Ise Itna Barha Charha K Pesh Kia Jese Lakhon Log Aye Hon Jalse Main Nazir Naji Sahab Ne To Mqm K Liay Tareefon K Pul Bandh Diay Iski Aik Waja Yeh B Hai Kuch Din Pehle Mqm Ne Nazir Naji Sahab Ko Aizaz Se Nawaza Tha.Or Doosri Tarf Haroon Rashid Sahab Ne Isi Jalse Ko Nakam Tareen Jalsa Qarar Dia Haroon Rasheed Ne Likha K Is Jalse K Liay 1000 Log To Karachi Se He Aye The Or Kuch Log Pmlq K The Kuch Log Pppp K The Phr B Jis Tarha Is Jalse Ka Media Or Mqm Ne Charcha Kia Ye Us Lehaz Se Nakam Tareen Jalsa Tha. Sahafion Ne Is Jalse K Kamyabi Ya Nakami Pe To Bohat Charche Kiay Ye Kisi Ne Nai Poocha K Is Jalse Pe Jo Lakhon Rupay Kharch Kiay Gaye Wo Mqm K Pas Kahan Se Kion K Jalse Se Kuch Din Pehle Altaf Sahab Ne Jalse Ki Kamyabi K Liay Logon Se Madad Ki Apeel Ki Thi.

Sahafion Ko Chahiay K Wo Apne Kam Se Insaf Karain Or Begair Kisi Lalach Or Ohde K Kam Karain Or In K Kam Main Janib Dari Ka Unsar Nai Hona Chahiay. Ghalat Ko Ghalat Or Sahi Ko Sahi Likhain Awam Bewaqoof Nai Awam Ko Pata Hai K Kon Galat Hai Or Kon Sahi.

Gullzaib Akram
About the Author: Gullzaib Akram Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.