Shatan Ka Tariqa

(Iftikhar Ahmed, Karachi)

Yeh Sacha Waqia Meri Wife Ney Mujhey Sunaya Tha Jo Hamari Shadi Sey Pehley Unkey Mohulley Main Paish Aya Tha. Unkey Mohuley Main Aik Shadi Shuda Jora Rehta Tha Jin Ki Nai Nai Shadi Hoi Thee. Shadi Key Bad Wo Donon Alag Ghar Aram Sey Zindagi Guzar Rehey They Yani Joint Family System Main Nahi Reh Rehey They. Aik Din Kisi Bat Per Donon Main Jhagra Ho Gia Aur Begum Sahiba Roth Ker Apney Mekey Chali Gain. Unkey Shohar Ko Is Bat Ka Sakht Afsos Hua Aur Shatan Ney Unko Akaila Pa Ker Mayoosi Ki Halut Main Mubtela Ker Dia. Mashoor Bat Hey Key Khali Zehan Shatan Ka Headquarter Hota Hey. Iskey Alawa Shatan Ka Aik Nam Iblees Bhee Hey Jiska Matlab Hey Intehaee Mayoos Yani Wo Allah Pak Ki Rehmat Sey Moyoos Rehta Hey. Wo Admi Tanhai Main Itna Pareshan Hua Key Na Usney Abpney Ghar Walon Sey Is Mamley Main Bat Key Na Apney Susral Qareebi Dookan Sey Matti Key Tail Ki Bottle Laya Aur Apney Oper Chirak Ker Aag Laga Li. Uskey Bad Hona To Yeh Chahiyey Tha Key Wo Chup Chap Beth Ker Jalta Rehta Kyon Key Usney Ye Sara Kam Apni Merzi Se Kia Tha Magar Aisa Na Hua Aur Wo Shor Macaney Laga Key Mujhey Bachao Mujhey Bachao. Shor Sun Ker Kuch Mohlley Waley Jama Huayo Aur Pani Aur Kambal Wagaira Dal Ker Usko Mazeed Jalney Sey Bachaya. Allah Pak Key Fazal Aur Karam Sey Us Admi Ki Jan Bach Gai Aur Ilaj Key Bad Wo Kuch Dinon Main Theek Ho Gia. Kuch Dino Key Bad Kisi Ney Us Sey Poocha Key Jab Tum Ney Khud Apni Merzi Se Khud Ko Aag Lagai Thee To Bad Main Logon Ko Madad Key Lia Kyon Pukar Rehey The To Usney Jawab Dia Key Apni Begum Key Roth Ker Mekey Jani Ki Waja Sey Wo Kafi Pareshan Tha Aur Shatan Ney Us Per Mayoosi Ki Shadeed Kaifiat Tari Ker Tee Thee Aur Isi Duran Usney Zindagi Ka Khatima Kerney Ka Faisla Ker Lia Tha. Magar Jaisey Hi Usney Khud Ko Aag Lagai Shatan Yeh Sajhtey Huey Key Usney Is Admi Ko Point Of No Return Per Pohncha Dia Hey Us Sey Alag Ho Gia Aur Shatani Kaifiat Key Hutey Hi Uski Aqal Wapis A Gai Aur Usney Logon Ko Madad Key Lia Bula Ker Abpni Jan Bacha Li. Is Waqiay Sey Humain Yeh Sabaq Hasil Kerna Chahiay Key Zindagi Main Kabhi Bhee Mayoos Na Hun Aur Apney Allah Pak Per Hamesha Barosa Rakhain Takey Mayoosi Ki Halat Main Koi Aisa Qadam Na Uthain Jis Sey Huamin Koi Nuqsan Pohnch Jai Aur Shatan Ko Khush Honey Ka Moqa Miley. Quran Pak Main Allah Pak Ka Irshad Hey Jis Ka Mafhoom Kuch Youn Hey Key Allah Tala Ki Rehamat Sey To Sirf Kafir Hi Mayoos Hotain Hain.

Iftikhar Ahmed
About the Author: Iftikhar Ahmed Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.