Parents Ki Zimadareean

(Afshan Rahman, Chicago usa)

Parents Yanee Maan Or Baap Walden Ye Words Sun Ker Ye Ehsas Hota Hay Ke Ye Log Jo Zimadaree Utha Rae Hein Woh Ye Hein Bachon Ke Educations Ki Zamadaree Bachon Ki Food Or Clothes Ko Muhayya Kerna Or Jo Bhi Kabhi Bache Chahen Woh Oon Ko Dedena Mother Bachon Ko Gher Per Help Kertee Hein Or Father Income Ki Feeker Kerte Hein Bus Yeh Kheyal Hotta Hay Keh Boys Ki Education Compelete Ho Jae Or Girls Perhne Ke Baad Oon Ki Shadee Hojae Bus Itna Hi Kersekte Hein Baqee Ab Mazeed Time Nahi Hay? Henna Yehi Baat Jo Aae Din Hum Sub Hi Sunte Reteh Hein.Lekin Kia Kabhi Parents Ne Yeh Janne Ki Koshish Ki Keh Ye Bache School Or College Ke Elawa Kahan Jarae Hein On Ki Or Kia Activities Hein On Ka Milna Or Bethna Kin Logon Keh Saath Hay Oon Ke Dost Kis Terha Keh Hein Kioon Keh Prophet Mohammad [P.B.U.H]Ne Fermayya Keh Tum Apne Doston Se Hi Pehchane Jao Ge. Kioon Keh Aapki Choice Jesee Hogee Aap Wahan Hi Bethna Pasand Karenge Ye Baat Bilkul Drest Hay .Jin Ko Music Ka Shoq Hoga Woh Wahan Janna Chaen Ge .Ek Magazine Mein Likha Hoowa Ek Waqeea Hay Keh Jub Ek Maan Ko Bolayya Gayya Jis Ka Beta Jail Mein Tha Or Akhree Bar Milne Ko Kaha Gayya Kioon Keh Oos Aadmi Ko Phansi Ki Saza Hogaee Thee Jub Maan Milne Gaee To Bete Ne Kaha Khash Maan Aap Mujhe Pehli Chori Per Mana Kertee To Aaj Mein Dakoo Or Qatil Nahotta Or Jail Mein Na Hotta .Maan Ko Ehsas Hoowa Keh Oos Ne Kiaa Galti Ki Or Apne Hi Bete Ko Phansi Per Pohcha Deea.Ager Maan Or Baap Thore Se Waqt Nikal Ker Ache Tereeqe Se Bachon Ko Samjhaen To Shaed Aaj Mujrim Kum Hojaen.Aaj Kal To Dinner Per Bhi Sub Saath Nahi Hote Sub Alag Alag Khate Hein Jahan Sub Saath Hon To Chae Sub Bachon Ko Thoree See Hadayat Zaroor Karen Walden Ki Zimadaree Hay Or Olad To Sadqa Jareea Hay Jo Naik Ammal Karenge Woh Oos Ka Silla Parents Ko Bhi Milega.Bhut Se Achee Families Ke Bache Galet Dostee Ke Sabeb Mushkilat Mein Pans Chuke Hein.Parents Ko Chae Thora Sa Time Apne Bachon Ko Pyar Or Tawajah Se Den Her Waqt Dante Na Rahen.Hazret Yaqoob Aleh Salaam Ne Bhut Pyar Se Apne Bachon Ko Deen Keh Bare Mein Bataya Tha Or Achee Terha Pyar Se Naseehat Ki Thee Jo Hum Sub Keh Lia Betreen Namoona Hein.A

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 213615 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.