Edaron Ki Zarorat

(imdad hussain, usta mohammad)

Mein Tehsil Usta Mohammad Distt.Jaffer Abab Balochistan Ka Rehaishi Hon. Hamaray Han Sirf Aik Degree College Hay.Jis Mein Theik Say Parhai Nahi Hoti. Yahan Per Na To Kisi Political Party Ka Zor Hay Na Hi Yahan Pe Itni Khas Student Orgnization Hay. Phir Bhi Yahan Per Classes Nahi Hotien.Lrakey Apni Merzi Sey Ate Aur Jaey Hein. Koi Rok Tok Nahi Hay. Mgr Phir Bhi Kuch Students Classes Attend Kertay Hein. College Mein Hostel To Hay Mgr Naam Ka Hostel Hay. Wahan Per Koi Nahi Rehta. Waja Ye Hay K Hostel Aise Lagta Hay K Jaise Adolf Hitler Ne Bombary Kr K Tabah Kr Dia Ho. Mery Akhir Mein Arbab E Akhtyar Sey Guzarish Hey K Khudara Ham Per Reham Khaein Aur Is Tarf Tawja Den. Hamarey Wadere(Land Lords) Nahi Chahtey K Ham Parh Likh Kr Un Ki Ghulami Sey Azad Hon. Govt. Ko Yahan Pe Tawaja Deni Chahye. Yahan Pe Talim Ka Mayar Bohat Kam Hai Khaosan Metric Sy Uper Ki, Koi Bacha Mushkil Sy Jata Hai Aur Phir Parhai Na Ho, To Larkey Ka Dil Toot Jata Hei. Plz Is Per Koi Action Len, Aur Classes Ko Regular Banaey K Liye Akdamat Kiye Janey Chayein.

imdad hussain
About the Author: imdad hussain Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.