BE_HAYA MASHRA

(Sumbal, Gujrat)

BE_HAYA MASHRA

Assalamoalikum Dosto!
Aj Ka Jo Hmara Artical Hai Wo Is Be_Haya Mashrey Se Mutalik Hai .Esa Mashra Jahan Be_Hayai Sare_Ame Ho Rhi Hai Or Is Be_Hayai Ki Wajah Se Kisi Ki Bhi Behn,Beti,Bahu Or Maa Mehfuze Nai .

Aj Se Ager 1400 Saal Pehly Waly Mashrey Py Ager Hum Nazar Dalein To Tab Bhi Hamara Ye Mashra Aurat Py Sitam Karta Tha Mard Usy Apne Paun Ki Juti Smjhta Tha , Or Phr Allah Ky Pyary Nabi(S.Aw) Jab Tashreef Laye Thay Tab Unho Ny Aurat Ko Uska Asal Muqam Dilwaya Tha Tab Bhi Boht Se Logo Ny Unky Hilaf Awaz Uthani Chahi Thi Mager Unho My Himat Na Hari Thi Or Aurat Ko Uski Izat Or Mukam Hasil Karwaya Tha ...

Lekin Aj Phr Se Wohi Rawayat Logo Ne Shuru Kar Di Hai Ye Mashra Esa Mashra Ban Chuka Jahan Aurat Ya Larki Ki Izat Mehfuze Nai .Loge Aurat Ko Bis Hawas Ki Nazar Se Daikhty.

Esa Kiun Hai? Kiu Ye Mashra Be_Hayai Ki Taraf Nikal Chuka?Ku Loge Kisi Ki Behn Ya Beti Ki Izat Ni Karty?Kya Is Lye Kiu Ky Wo Usy Kamzore Smjhty?Ya Is Lye Ky Wo Her Zulm Seh Leti Or Khamosh Rehti ?Akhir Ye Mashra Aurat Ko Hi Nishana Ku Bnata?

Mard Kiu Bhool Jaty Ky Unhy Bhi Paida Karne Wali Ek Aurat Hi Hai ... Or Wo Hi Usy Is Kabil Bnati Ky Aj Wo Is Mashrey Mein Sans Ly Paa Rha .. Warna Usky Bgair Uska Koi Wajood Hi Nai...

Mardoo Ko Ye Baat Bilkul Bhi Nai Bhoolni Chahiye Ky Jahan Ek Aurat Usy Paida Kar Skti Usy Chalna Seekha Skti Uski Khuwashsat Ko Pura Kar Skti Usky Lye Tklefein Bardash Kar Skti To Wo Apni Py A Jaye To Apni Izat Bachaney Ky Lye Kisi Bhi Had Tak Ja Skti ....Ager Mard Apni Soach Ko Badl Lain To Ye Mashra Be_Hayai Se Mahfuze Ho Skta ...

Kabhi Kabhi Mujhy Ye Daikh Ky Boht Dukh Hota Ky Hum Ese Mashrey Ky Hisa Hain Jahan Ek Aurat Ho Ya Beti Ya Larki Koi B Mehfuze Nai ...Umeed Hai Ky Ek Na Ek Din Badlaoe Zarure Aye Ga ..Inshaallah.😊
"Izat E Nafs Ho Jis Se Barbaad Ho
Tanhai Hai Behtar Esi Be_Hayai Se"

Ehlaqi Sabak...
Ager Is Be_Haya Mashrey Mein Rehna To Aurat Ko Chahiye Zulm Ky Hilaf Awaz Uthae Or Apni Izat Ko Khud Mehfuze Kary ...😊😊

Thnkuuu ...❤❤

Sumbal
About the Author: Sumbal Read More Articles by Sumbal: 18 Articles with 57315 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.