Bey Gherti

(M Shamim Ahmed, Karachi)

Afsos Ka Moqam Hai K Humare Watan Islami Jamhoorya E Pakistan Ko Azad Huye Aj 63 Sal Hogaye. Aj Hum Is Azadi Per Nohan Khan Hain Kion K Hum Ney Lakho Maon Bahno Ki Izzat Qurban Ki Un Hen Bewa Yateem Banaya Humne Bhyeeon Bapoon Or Buzurgon Ko Bedareg Saheed Kerwaya Apni Hunsti Basti Zindagi Hara Bhara Gher Chor Ayee Mahz Is Khushi K Lye K Ek Azad Islamic Watan Ka Soda Hua. Kash K Hum Usi Gulami Ka Toq Apnaye Hotey To Aj Hum Dunya Bher Mein Is Azad Watan Per Ruswa Na Hotay Bey Gyrti Ka Dunya Tana Na Deti Bhikari Begyrat Islam K Klung Ka Teeka Or Aj Sari Burayoon Ka Misal Na Hotey . Hum Mein To In Zilat Amez Shermindagi Per Etni Sakat Bhi Na Rahi K Apney Ankhon K Samney Dakoo Looterey Qatil Dushman E Mulk Ko Is Pak Serzamin Sey Bhaga Saken ,Aj Hum Apney Is Samar Ki Truf Dekhtey Hain Jo Khun Alood Hai Zakham Zakhm Hi Weran Toot Phoot Raha Hai To Apni Zindagi Per Lanat Malamat Or Mer Janey Ko Dil Chahta Hai.

Humari Azadi K Bad Bahut Sarey Mumalik Ka Nam Ata Hai Jo Dunya Mein Traqqee Or Naik Nami Ki Misal Banker Humen Khud Kashi Chullo Bher Pani Mein Mer Mitney Ka Ders Deta Hai.

Kia Nayee Naslon Mein Etni Gherat Na Rahi K Un K Abao Ajdad Ney In Ko Jo Tohfa Dya Us Ki Abyari K Lye Ab Khoon Chaye Jo Insey Chekh Cheekh Ker Talab Ker Raha Hai.

Ek Dukhyara
Shamim

M Shamim Ahmed
About the Author: M Shamim Ahmed Read More Articles by M Shamim Ahmed: 3 Articles with 2323 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.