Add Poetry

Ye Khwab Kaisa Dikha Rahe Ho

Poet: Kaifi Azmi By: Amir Ali, Attock

Yeh Kis Tarah Yaad Aa Rahi Ho
Yeh Khawab Kaisa Dikha Rahi Ho
Ke Jaise Sachmuch Nighah Ke
Samne Kahdi Muskura Rahi Ho
Yeh Khawab Kaisa Dikha Rahi Ho

Yeh Jism E Naazuk Yeh Narm Baahe
Haseen Gardan Sudol Baazu
Sahgufta Chehar Saloni Rangat
Ghanera Juda Siyaah Gesu
Nashili Aankhe Haseel Chitwan
Daraz Palke Mahin Abru
Tamam Shoki Tamam Bijli
Tamam Masti Tamam Jaadu

Hazaaro Jaadu Jaga Rahi Ho
Yeh Khawab Kaisa Dikha Rahi Ho
Ke Jaise Sachmuch Nighah Ke
Samne Kahdi Muskura Rahi Ho
Yeh Khawab Kaisa Dikha Rahi Ho

Nahi Mohabbat Ki Koi Kimmat
Jo Koi Kimmat Ada Karoge
Wafa Ki Fursad Na Degi Duniya
Haazar Azme Wafa Karogi
Mujhe Bhelne Do Ranjo Gham Se
Sahare Kab Tak Diya Karogi
Junoo Ko Itna Na Gudgudao
Pakad Lun Daamn To Kya Karogi

Kareeb Badhti Hi Aa Rahi Ho
Yeh Khawab Kaisa Dikha Rahi Ho
Ke Jaise Sachmuch Nighah Ke
Samne Kahdi Muskura Rahi Ho
Yeh Kis Tarah Yaad Aa Rahi Ho.

Rate it:
Views: 659
06 Jul, 2022
Related Tags on Kaifi Azmi Poetry
Load More Tags
More Kaifi Azmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets