Add Poetry

Wo Bachpan k Din

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Kya Din They Na Pucho Wo Bachpan K
Jab Khilone Mitti K Hum Banate They
Bekhabar Is Jahan K Rang-O-Gham Se
Naye Khaabon Main Ghum Ho Jaate They

Na Khabar Kuch Hume Din Dopehar Ki Thi
Na Pata Kuch Hume Is Zamane Ka Tha

Wo Bachpan Humara Tha Khushiyon Bhara
Har Pal Mai Ummeedon K They Karwaan
Haaye Uljhan Bhari Ye Jawaani Hai Ab
Jo Beeta Wo Bachpan Bhala Ab Hain Kahan

Ae Kaash Ye Jo Waqt Hai Ab Agar
Le Jaaye Mujhe Mere Bachpan Mai To
Main Us Waqt Ko Rok Doon Bas Wahi
Jo Tha Mere Bachpan Mai Khushiyon Bhara

Magar Ye Bhi Ab To Mumkin Nhi
Jo H Beet Jaata Wo Aata Nhi
Jo Kuch H Kho Chuka Bachpan Mai Mere
Q Wo Ab Mujhe Mil Pata Nhi

Magar Yaad Jab Bhi Aate Hain Wo Din
Mujhe Wo Rula Hi Jaate Hain
Jo Hum Sochte Hai Bhala Wo Kahan
Hokar Jawaan Hum Pate Hai

Chalo Ab Naya Karwaan Dekh Lein
Chote Bachcho Ko Dekh Kar Soch Lein

K Haan Hum Bhi Pehle Aise Hi They
 

Rate it:
Views: 2388
11 Jul, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets