Add Poetry

Tapakte Aansuon

Poet: ashraf ali blank By: ashraf ali, mumbai

Tapakte Aansuon Pe Na Ja,Mere Tabassum Ko Na Dekh
Zara Meri Duniya Me Aaja,Aakar Khud Ka Aaina Dekh

Yadon Ki Deewaron Ke Ghar Hain,Yadon Ki Dehleezen
Sameti Basti-E-Dil Ko,Sheher-E-Gham Ko Haseena Dekh

Mere Kamron Ki In Nachiz Taswiron Me Kyu Gum Hai
Mere Khayalon Me Saji Teri Sohbat-E-Shaaheena Dekh

Ye Saari Turki-E-Rukhsar Ya Saari Ronaqen Kam Hain
Sambhale Rakhi Hai Maine,Wo Ulfat Ka Khazeena Dekh

Bahot Mashhoor Hain Raqs-E-Tahaiyyur Chashm Ka Meri
Tere Gham Ke Diye Ashkon Ka Bana Kaisa Nageena Dekh

Chamakti Mehfilon Ki Bheed,Shohrat Pe Meri Na Ja
Takiye Me Chhupe Taarik Akelepan Ka Safeena Dekh

Pata Hai Mujhko Na Sehen Hoga Tujhe Ye Masda-E-Ashraf
Yahi Behtar Hai Is Sabse Ke Tu Kuch Bhi Kabhi Na Dekh
 

Rate it:
Views: 376
29 Aug, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets