Add Poetry

Sajdey Kiye Hain Laakhon

Poet: Mohsin Shaikh By: Mohsin Shaikh, Hyderabad

Sajde Kiye Hai Lakhon
 Lakhon Duayein Maangi
 Paya Hai Maine Phir Tujhe

Chahat Ki Teri Maine
Haqq Mein Hawayein Maangi
 Paya Hai Maine Phir Tujhe

Tujhse Hi Dil Yeh Behla
Tu Jaise Kalma Pehla
Chahun Na Phir Kyun Main Tujhe

Jis Pal Na Chaha Tujhko
 Uss Pal Sazayein Maangi
 Paya Hai Maine Phir Tujhe

Sajde Kiye Hai Lakhon
Lakhon Duayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe

Jaane Tu Sara Woh
Dil Mein Jo Mere Ho
Parh Le Tu Aankhein Har Dafa

Nakhre Se Na Ji Bhi Hote Hain Raazi Bhi
Tujhse Hi Hote Hain Khafa

Jaane Tu Baatein Saari
Katt Ti Hain Raatein Saari
Jalte Diye Se Ann Bujhe

Uth Uth Ke Raaton Ko Bhi
Teri Wafayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe

Sajde Kiye Hai Lakhon
Lakhon Duayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe

Chahat Ke Kajal Se
Kismat Ke Kaagaz Pe
Apni Wafayein Likh Zara

Bole Zamana Yun
Main Tere Jaisi Hoon
Tu Bhi To Mujhsa Dikh Zara

Mera Hi Saaya Tu Hai
Mujh Mein Samaya Tu Hai
Har Pal Yeh Lagta Hai Mujhe

Khud Ko Mitaya Maine
Teri Balayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe

Chahe Tu Chahe Mujhko
Aisi Adaayein Maangi
Paya Hai Maine Phir Tujhe

Rate it:
Views: 1246
27 Aug, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets