Add Poetry

Pardes

Poet: SHAYAN GHULAMI By: shayan ghulami, ABU DHABI

Kaise Kat Pati Akeli Zindagi Pardes Me
Hum Safar Hoti Agar Na Shayeri Pardes Me

Mein Ne Bharath Me Jalaya Tha Diya Taleem Ka
Mil Rahi Hai Os Diye Se Roshni Pardes Me

Kal Kisi Ke Saamne Phaile Na Ye Dast-E-Sawal
 Kar Raha Hoon Aaj Jo Mein Naukari Pardes Me

Naam Tak Apna Batane Se Yahan Lagta Hai Dar
 Her Taraf Pehli Hai Meri Dushmani Pardes Me

Aisa Lagta Hai Ke Jaise Saari Khushiyan Milgayi
 Jab Bhi Milta Hai Mujhe Apna Koi Pardes Me

Phone Par Sun Kar Behen Ke Byaah Ki Shehnaiyan
Mere Aansoon De Gaye Kitni Khushi Pardes Me

Dekh Kar Tasveer Me Badhti Huwi Bachchon Ki Umr
 Gum Shuda Lagti Hai Meri Zindagi Pardes Me

Ye To Sach Hai Door Se Dikti Nahi Ahbaab Ko
Kaatni Kitni Hai Mushkil Zindagi Pardes Me

Ab Akelapan Kabi Mehsoos Hi Hota Nahi
Hogayi Jab Shayeri Se Doosti Pardes Me

Maslehat Samjho Ya Samjho Raaz Ye Shayan Ka
Kar Raha Hai Dushmano Se Doosti Pardes Me
 

Rate it:
Views: 1167
09 Sep, 2015
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets