Add Poetry

Khoon Bechta Hoon

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Khoon Bechta Hoon
Main Khoon Bechta Hoon

Iss Daur Mai Kaise Bhala Ho Zindagi Bashar
Charo Taraf Hai Bhookhmari
Charo Taraf Hai Zehar

Khoon Bechta Hoon
Main Khoon Bechta Hoon

Aaye Din Gir Raha Hai
Mere Desh Ka Rupaiya
Mehngaai Maarti Hai
Badla Hai Sab Rawaaiya

Dushwaar Ho Raha Hai
Ghar-Baar Ko Chalana
Ye Kaisa Waqt Hai Yaaro
Pada Khud Ko Hi Jalana

Khoon Bechta Hoon
Main Khoon Bechta Hoon

Hai Daur Ghardishon Ka
Jo Rang La Raha Hai
Mailey Hai Dil Sabhi Ke
Ya Jang Aa Raha Hai

Uthkar Sawaal To Kar
Shayad Jawaab Nikle
Apni Hi Jeb Jhaddo
Kuch To Ajaab Nikle

Khoon Bechta Hoon
Main Khoon Bechta Hoon

Bimaar Mere Apne
Ye Desh Ke Masheeha
Koochlenge Khud Ko Khud Se
Paar Hogi Khaak Nayiya

Kursi Ka Sab Ko Lalach
Kise Desh Ki Padi Hai
Kaise Ho Maal Andar
Bas Jeb Ki Padi Hai

Khoon Bechta Hoon
Main Khoon Bechta Hoon

Main Bhi Hoon Iss Watan Ka
Mazdoor-E-Mashwara Hai
Iss Mulq Ka Sarasar
Har Aadmi Bura Hai

Apni Hi Dhoon Hai Sabko
Apna Khayaal Hai Bas
Shamil Hoon Main Bhi Inme
Sach Ye Malaal Hai Bas

Khoon Bechta Hoon
Main Khoon Bechta Hoon.
 

Rate it:
Views: 380
10 Sep, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets