Add Poetry

Khiyal Hai Kiya Ik Suda Sar-E-Aam Karo Gay

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, Faisalabad, Punjab, Pakistan.

Khiyal Hai Kiya Ik Suda Sar-E-Aam Karo Gay
Lay K Muhabat Wafaa Meray Naam Karo Gay

Har Subho Kisi Phool Ki Khushbo Ki Tarah
Chand Ki Misel Roshan Meri Shaam Karo Gay

Bassa K Rakho Gay Apni Nigahun Mein Sada
Meray Dill Mein Kia Tum Qiyaam Kro Gay

Atish-E-Ishq Mein Har Lamha Jalna Ho
Bolo Kiya Tum Bhi Yeh Kaam Kro Gay

Yeh Tugafil Yeh Rakabat Yeh Be-Anaai Teri
Muhabat Ko Tum Kitna Badnaam Karo Gay

Karo Gay Jab Tum Ulfat Mein Khasaro'n Ka Hisaab
Khud Ko Lazim Hai K Barsar-E-Ilzam Kro Gay

Sarf-E-Nazar Mumkin Na Rhay Ga Tum Par
Mera Zikar Mere Baad Sar-E-Aam Karo Gay

Muntazir Hai Bazam Mein Sukhan War Amber
Kab Baat Dill Ki Tum Lab-E-Bam Karo Gay
 

Rate it:
Views: 460
06 Mar, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets