Add Poetry

Haseena

Poet: ASAD ALI ASAD By: ALI ASAD, SIALKOT

Pal Bhar Ke Liye ,Nazar Us Se Lari Thi
Sar E Raah Jab Haseena Jab Mujh Se Mili Thi

Suraj Ki Laali Ke Se Rukhsaar The Uske
Chanda Ki Tarha Se Chamakti Jabee Thi

Phel Gai Thi Khushbu Hawao'n Main Chaaro Orh
Jo Hawa Tere Jism Ko Choo Kar Chali Thi

Kuch Samj Nahi Aata K Kya Naam Doo Usko
Husn Ki Malika Thi K Paristaa K Pari Thi

Kitne Hi Shah Zor Us Din Dher Ho Gaye
K Teri Shokh Nazr Jin Jin Pe Pari Thi

Pheli Hui Thi Ghup Tareekiya Jahan Main
Mere Gird To Sitaro Ki Lari Thi

Anmol Tohfa Hai Tu Zameen Par Khuda Ka
Qudrat K Hatho Se Tu Fursat Main Bani Thi

Qayamt Ka Naam Logo Se Suna Tha Maine
Dil Se Uthi Sada Asad Haa Yeh Wohi Thi
 

Rate it:
Views: 3885
04 Jun, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets