Add Poetry

Ham Hijar K Rastay Par Safar

Poet: Akash By: Akash , Karachi

Ham Hijar K Rastay Par Safar Kar Nahi Saktay
Eik Lamha Teray Bina Basar Kar Nahi Saktay

Woh Aakhri Lamhoon Main Mujhy Maang Raha Hai
Yeh Waqt Hai Aesa K Guzar Kar Nahi Saktay

Khud Hath Say Apnay Usay Khona Hi Paray Ga
Yeh Zabt Bhi Karna Hai Magar Kar Nahi Saktay

Yoon Apni Nigahoon Ko Chora Laitay Hain Tujh Say
K Dil K Iradoon Ki Khabar Kar Nahi Saktay

Tum Khwaab Jalatay Rahay Ham Aaj Tak Chup Thay
Ab Dil K Yoon Jalnay Par Sabar Kar Nahi Saktay

Yeh Aankh Andheroon Main Hoi Pyaas Ka Sehra
Is Noor K Darya Par Nazar Kar Nahi Saktay

Har Chand K Meri Aankh Main Aansoo Hain Laraztay
Jalty Huay Sholay Es Par Asar Kar Nahi Saktay

Ab Chahin Bandh Lain Gay Tumhin Apni Nazar Say
Ham Is Liye Khuda Say Khafa Ho Nahi Saktay

Rate it:
Views: 549
26 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets