Add Poetry

Flirt

Poet: Neelam Ali By: Neelam Ali, Bahawalpur

Bhla Ye Koi Baat Hui
Her Maur Pr,Her Chorahy Pr
Galiyun Mein,Munderoun Pr
Her Koi Kisi Na Kisi Sy
Muhabbat Ka Aseer Hai
Naam Nihad Muhabbat Ka
Is Dunya Mein Jahan
Her Koi Masroofiyat Ka Rona Rota Hai
Logon K Pas Itna Waqt Kahan Sy Ata Hai
K Wo Muhabbat Kren Phly Aur Phir,
Izhar Bhi Daagh Dalen
Main Mutafik Nahi Is Bat Sy
Muhabbat Gr Sachi Ho To Usy
Izhar Ki Zarurat Hai Kya ?
Sb Naam Ki Muhabbat Krty Hain
Chahty Hain,Kho Dety Hain Phir
Bhool Jaty Hain
Aur Phir Zindagi K Jhamely
Itni Fursat Hi Kb Dety Hain
K Mazi Ki "Muhabbat" Ko Yad Kia Jay
Sb K Sath Esa He Hota Hai
Aur Aaj Kal Ki Muhabbat Bhi To Ikhtiyari Hai
Aajkal K Saainsi Daur Mein
Aik Rebort Ki Tarha
Jab Chaho Muhabbat Kr Lo, Phir
Jab Chaho Bhul Jao
Dil Sy Nikal Kr Shopping Pr Chaly Jao
Koi Business Deal Kro Ya
Kisi Naye Sathi K Sath "Candel Light Dinner"
Aik Khas Waqt Tk Muhabbat Kro Phir
Aik Khas Hadd Tk Usy Bhul Jao
Ye To Koi Baat Na Hui Na
Phir Bhi
Subha O Shaam, Din Raat
Chalty Phirty, Uth'ty Beth'ty
Dil Sy Tumhari "MUHABBAT" Ka Aitraf Krty Huy
Ik Kamini Si Khushi Hoti Hai
 

Rate it:
Views: 3166
24 Oct, 2011
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets