Add Poetry

Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise

Poet: Khwaja Haider Ali Aatish By: Shadab Khan, Karachi

Dahan Par Hain Unke Gumaan Kaise Kaise
kalam aate hain darmiyan kaise kaise

zamin e chaman gul khilati hai kya kya
badalta hai rang aasman kaise kaise

tumhaare shahidon mein dakhil hue hain
gul o lala o arghawan kaise kaise

bahaar aai hai nashshe mein jhumte hain
muridan e pir e mughan kaise kaise

ajab kya chhuta ruh se jama e tan
lute rah mein karwan kaise kaise

tap e hijr ki kahishon ne kiye hain
juda post se ustukhan kaise kaise

na mud kar bhi be dard qatil ne dekha
tadapte rahe nim jaan kaise kaise

na gor e sikandar na hai qabr e dara
mite namiyon ke nishan kaise kaise

bahaar e gulistan ki hai aamad aamad
khushi phirte hain baghban kaise kaise

tawajjoh ne teri hamare masiha
tawana kiye na tawan kaise kaise

dil o dida e ahl e alam mein ghar hai
tumhaare liye hain makan kaise kaise

gham o ghussa o ranj o andoh o hirman
hamare bhi hain mehrban kaise kaise

tere cilk e qudarat ke qurban aankhen
dikhae hain khush ru jawan kaise kaise

kare jis qadar shukr e neamat wo kam hai
maze lutti hai zaban kaise kaise

Rate it:
Views: 887
09 Feb, 2022
Related Tags on Khwaja Haider Ali Aatish Poetry
Load More Tags
More Khwaja Haider Ali Aatish Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets