Add Poetry

Chalo Kuch Dair Hansty Hain

Poet: Waqas Ahmad By: Waqas Ahmad, Hazro(Shinka)

Chalo Kuch Dair Hansty Hain
Muhabbat Ki Inayat Per
K Be-Bunyad Batein Hai
Sabi Rishty Sabi Natey
Zarorat Ki Hain Aijadein
Kahin Koi Nahi Marta
Kisi K Wastey Jana
K Sab Hain Pheir Lafzon Ke
Hia Sara Khel Harfon Ka
Na Hai Mehboob Koi Bhi
Chalo Kuch Dair Hansty Hain
Usi Ko Yaad Karte Hain
Jisey Hum Zeest Kehte Hain
K Lena Sans Bhi Jis Ke
Humein Ek Jurm Lagta Hai
K Sang Jis Ke Har Ek Lamha
Khush-O-Khurram Sa Lagta Hai
Jisey Hum Zindagi Kehte Hain
Jisey Hum Shayari Kehte Hain
Ghazal Ka Qafia Tha Jo
Meri Nazmon Ka Unwaa'n Tha
Wo Lejha Jab Badalta Tha
Qayamat Khez Lagta Tha
Waqt Se Aagy Chalta Tha
Bala Ka Tez Lagta Tha
Jo Saya Ban Ke Rehta Tha
Juda Ab Us Se Rastey Hain
Chalo Kuch Dair Hansty Hain
Chalo Kuch Dair Hansty Hain
Sabi Jumly Se Kastey Hain

Rate it:
Views: 1393
04 Aug, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets