Add Poetry

Aankhon kay ''ASEER''

Poet: kiran shahzadi By: kiran shahzadi, Rawalpindi

Kabhi Uss Ki Aankhein Kuch Kehti Hain
Kabhi Kuch Kehti Hi Nahi
Kabhi Uss Ki Aankhon
Main Malaal Hota He
Kabhi Iqraar Hota He
Kabhi Sawaal Karti Hain
Kabhi Jhuk Sii Jati Hain
Kabhi Masroof Rakhti Hain
Kabhi Mujhy Apny
Hesaar Main Ghair Laiti Hain
Kabhi Khaali Khaali Si
Khamoosh Lagti Hain
Kabhi Uss Ki Aankhein
Mujhy Bechain Karti Hain
Mujh Se Har Lamha
Raabty Main Rehti Hain
Uss Ki Aankhein
Kabhi Khushi Se
Shokh Lagti Hain
Kabhi Gham Se
Nidhaal Lagti Hain
Kabhi Fikr Ki Shmein
Unn Main Jalti Hain
Kabhi Madham Si Lagti Hain
Meri Aankhon Main Doob Kr
Uss Ki Aankhein
''Nayaab'' Ho Jati Hain
''Uss'' Ki Aankhon Ki Hararat
Mujhy Aksar Bechain Rakhti He
Kabhi Mujhy Uss Ki Aankhein
Sharabi Si Lagti Hain
Kabhi Atabi Si Lagti Hain
Kabhi Ruthi Si Lagti Hain
Kabhi Jalali Si Lagti Hain
Kabhi Ndamat Se
Chur Chur Lagti Hain
Uss Ki Aankhon Ko
Parrny Ka Saliqa Mujh Ko Aata Tha
Mgr Ik Din Keh Dia Uss Ny
Tum Ab Chali Jao
Meri Inn Atabi Aankhon Ky
Aseer Bohat Hain
 

Rate it:
Views: 340
19 Aug, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets