Add Poetry

To Haan Tumse Mohabbat Hai

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Ibadat Mai Duaon Mai
Tumhi Ko Maangte Rehna
Khumaari mai Khayaalon Mai
Tumhi ko Sochte Rehna
Agar Ye Hi Mohabbat Hai
To haan Tumse Mohabbat Hai

Nazar Mai Kaifiyat Jaagi
Labon Pe Shokhiyon Ka Rang
Haya Sar Pe Dupatte Ki
Ke Jaise Titliyon Ka Rang

Tumhi ko sochte rehna
Tasawwar mai Haqeeqat Mai
Agar Ye Hi Mohabbat Hai
To Haan Tumse Mohabbat Hai

Zamana Bhool jaati hun
Sukoon ek pal nhi Milta
Karoon Bas chah Ek Teri
Magar Koi Hal Nhi Milta

Dar-o-Deewar Se Aksar
Tumhaara Zikr karti hoon
Agar Ye Hi Mohabbat Hai
To Haan Tumse Mohabbat Hai

Wafaon Ka Sila Chahoon
Hawaon Se Pata Chahun
Mujhe jo Tum Tak Le Aaye
Koi aisi Dua Chahoon

Har Ek Kisse Kahaani Mai
Tumhaari Baat Sunti Hoon
Agar Ye hi mohabbat Hai
To Haan Tumse Mohabbat Hai.

Koi to Faisla kar Do
Aji Dil Ka Bhala Kar Do
Zehan Mai Tum Samaaye Ho
Mareez-e-Dil Hoon Dawa kar Do

Yakeen Maano Ye Hasrat Hai
Tumhaari Mujhko Chahat Hai
Agar Ye Hi Mohabbat Hai
To Haan Tumse Mohabbat Hai.

Rate it:
Views: 2290
04 Jan, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets